rahta hai jaan arsh pe tan hai yahan mera
rahtā hai jaan 'arsh pe tan hai yahāñ mirā
paayā maiñ lā-makāñ se pare hai makāñ mirā
ek baat hai sabāt-e-jahāñ mere nutq se
goyā hai bhed ganj-e-ḳhafī kā vahāñ mirā
haq mujh meñ ā.īna hai maiñ huuñ haq kā ā.īna
shān-e-safā hai hāl-e-nihāñ-o-'ayāñ mirā
rahtā huuñ chashm-e-ahl-e-basar kī nigāh meñ
miltā hai nukta-dāñ ke suḳhan meñ nishāñ mirā
zāt-e-ḳhudā hai fahm meñ vahm hai ḳhudī
'ilmul-yaqīn samjho to haq hai gumāñ mirā
dair-o-haram meñ bhuul ke rakkhā na maiñ ne paañv
siine meñ ahl-e-dil ke hai jab se makāñ mirā
maiñ vo tilism-e-ġhaib-o-shahādat huuñ ai 'vatan'
suntā huuñ naam par nahīñ miltā nishāñ mirā
rahta hai jaan 'arsh pe tan hai yahan mera
paya main la-makan se pare hai makan mera
ek baat hai sabaat-e-jahan mere nutq se
goya hai bhed ganj-e-KHafi ka wahan mera
haq mujh mein aaina hai main hun haq ka aaina
shan-e-safa hai haal-e-nihan-o-'ayan mera
rahta hun chashm-e-ahl-e-basar ki nigah mein
milta hai nukta-dan ke suKHan mein nishan mera
zat-e-KHuda hai fahm mein wahm hai KHudi
'ilmul-yaqin samjho to haq hai guman mera
dair-o-haram mein bhul ke rakkha na main ne panw
sine mein ahl-e-dil ke hai jab se makan mera
main wo tilism-e-ghaib-o-shahadat hun ai 'watan'
sunta hun nam par nahin milta nishan mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.