yar apni shakl mein hai hum hain shakl-e-yar mein
yaar apnī shakl meñ hai ham haiñ shakl-e-yār meñ
yaañ bhī ham dīdār meñ haiñ vaañ bhī ham dīdār meñ
inna-fī-qatlī-hayātī kā rahe nashsha jise
daar par sau baar laTke lazzat-e-dīdār meñ
tū salāmat sāqiyā ābād terā mai-kada
kar diyā ḳhud-sā mujhe ik sāġhar-e-sarshār meñ
paas hai vo nahno-aqrab kah ke dekho kis qadar
duur hai a.alam hī us se ik ġhalat pindār meñ
vahm kā apne zarā parda uThā kar dekhiye
yaar hī zāhir huā hai sūrat-e-aġhyār meñ
ḳhar-e-mūsā aur mā-zāġh al-basr kuchh aur hai
jis kī jaisī diid vaisā hausla-e-absār meñ
ab to ham har aan 'ġhausī' rahte haiñ do shaan meñ
mahv-e-haq meñ sahv shakl-e-ahmad-e-mukHtār meñ
yar apni shakl mein hai hum hain shakl-e-yar mein
yan bhi hum didar mein hain wan bhi hum didar mein
inna-fi-qatli-hayati ka rahe nashsha jise
dar par sau bar laTke lazzat-e-didar mein
tu salamat saqiya aabaad tera mai-kada
kar diya KHud-sa mujhe ek saghar-e-sarshaar mein
pas hai wo nahno-aqrab kah ke dekho kis qadar
dur hai aalam hi us se ek ghalat pindar mein
wahm ka apne zara parda uTha kar dekhiye
yar hi zahir hua hai surat-e-aghyar mein
KHar-e-musa aur ma-zagh al-basr kuchh aur hai
jis ki jaisi did waisa hausla-e-absar mein
ab to hum har aan 'ghausi' rahte hain do shan mein
mahw-e-haq mein sahw shakl-e-ahmad-e-mukHtar mein
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.