yar kan kan na phira dahr mein kya-kya ban kar
yaar kaañ kaañ na phirā dahr meñ kyā-kyā ban kar
āḳhirash baiTh gayā ḳhaak kā putlā ban kar
rah gayā thā jo adam meñ mirā naqsha ban kar
aayā ab ālam-e-ījād meñ ḳhāka ban kar
DhūñDe asrār-e-ḳhudā dil ne jo andhā ban kar
rah gayā aap hī pahlū meñ muamma ban kar
dekh lo ḳhuub mujhe aayā huuñ aisā ban kar
phir ye farmā.e koī jā.ūñgā kaisā ban kar
ban gayā zaḳhm-e-jigar dīda-e-bianā ban kar
dāġh-e-dil chamkā mirā arsh kā taarā ban kar
jisne dekhā mujhe hairat se vo muñh taktā rahā
maiñ bhī aayā huuñ jo duniyā meñ tamāsha ban kar
be-bahāne ke agar hai tumheñ aane meñ lihāz
ye lo ham marte haiñ tum aao masīhā ban kar
dam-e-kHuftan thā kisī rañg-e-tilā.ī kā ḳhayāl
uḌ ga.ī niiñd merī sone kī chiḌiyā ban kar
maiñ samajhtā thā ibādat ko hī asbāb-e-najāt
aatī hai sāmne har-dam mere duniyā ban kar
'ulvī' chhuTtā nahīñ jab tak ki na ushtur terā
aa.egā suuī ke naake meñ na dhāga ban kar
yar kan kan na phira dahr mein kya-kya ban kar
aaKHirash baiTh gaya KHak ka putla ban kar
rah gaya tha jo adam mein mera naqsha ban kar
aaya ab aalam-e-ijad mein KHaka ban kar
DhunDe asrar-e-KHuda dil ne jo andha ban kar
rah gaya aap hi pahlu mein muamma ban kar
dekh lo KHub mujhe aaya hun aisa ban kar
phir ye farmae koi jaunga kaisa ban kar
ban gaya zaKHm-e-jigar dida-e-biana ban kar
dagh-e-dil chamka mera arsh ka tara ban kar
jisne dekha mujhe hairat se wo munh takta raha
main bhi aaya hun jo duniya mein tamasha ban kar
be-bahane ke agar hai tumhein aane mein lihaz
ye lo hum marte hain tum aao masiha ban kar
dam-e-kHuftan tha kisi rang-e-tilai ka KHayal
uD gai nind meri sone ki chiDiya ban kar
main samajhta tha ibaadat ko hi asbab-e-najat
aati hai samne har-dam mere duniya ban kar
'ulwi' chhuTta nahin jab tak ki na ushtur tera
aaega sui ke nake mein na dhaga ban kar
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 323)
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.