yar ki marzi ke tabe yar ka dam-bhar ke dekh
yaar kī marzī ke taabe yaar kā dam-bhar ke dekh
'arz-e-matlab karke dekhā tark-e-matlab karke dekh
be-irāda marne vaale bā-irāda mar ke dekh
sab tamāshe kar chukā ye bhī tamāsha karke dekh
maut ḳhud ban jā.egī tere liye ik zindagī
zindagī pe marne vaale zindagī meñ mar ke dekh
yaar terā hai to phir terī hai saarī kā.ināt
sab ko apnā karne vaale us ko apnā kar ke dekh
tark-e-duniyā tark-e-'uqbā tark-e-maulā tark-e-tark
ya.anī yuuñ be-ārzū jiine kī 'ādat kar ke dekh
chhoḌ bhī de mujh ko mere haal par ai chāra-gar
'ishq ke dushman ḳhudā par bhī bharosa kar ke dekh
har musībat pesh-ḳhema hai tire ārām kā
sabr se bhī kaam le kuchh din musībat bhar ke dekh
aa gayā 'kāmil' dam-e-āḳhir vo jān-e-intizār
marne vaale chain se mar dekh ab jī bhar ke dekh
yar ki marzi ke tabe yar ka dam-bhar ke dekh
'arz-e-matlab karke dekha tark-e-matlab karke dekh
be-irada marne wale ba-irada mar ke dekh
sab tamashe kar chuka ye bhi tamasha karke dekh
maut KHud ban jaegi tere liye ek zindagi
zindagi pe marne wale zindagi mein mar ke dekh
yar tera hai to phir teri hai sari kainat
sab ko apna karne wale us ko apna kar ke dekh
tark-e-duniya tark-e-'uqba tark-e-maula tark-e-tark
yani yun be-arzu jine ki 'adat kar ke dekh
chhoD bhi de mujh ko mere haal par ai chaara-gar
'ishq ke dushman KHuda par bhi bharosa kar ke dekh
har musibat pesh-KHema hai tere aaram ka
sabr se bhi kaam le kuchh din musibat bhar ke dekh
aa gaya 'kaamil' dam-e-aKHir wo jaan-e-intizar
marne wale chain se mar dekh ab ji bhar ke dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.