Font by Mehr Nastaliq Web

payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya

Yagana Lakhnavi

payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya

Yagana Lakhnavi

MORE BYYagana Lakhnavi

    payām-e-zer-e-lab aisā ki kuchh sunā na gayā

    ishāra paate añgḌā.ī rahā na gayā

    hañsī meñ vā'da-e-fardā ko Tālne vaalo

    lo dekh lo vahī kal aaj ban ke aa na gayā

    ḳharāb phirtā hai dīvānā kyuuñ bagūlā

    zamīñ meñ sūrat-e-āb-e-ravāñ samā na gayā

    pukārtā rahā kis-kis ko Dūbne vaalā

    ḳhudā the itne magar koī aaḌe aa na gayā

    samajhte kyā the magar sunte the tarāna-e-dard

    samajh meñ aane lagā jab to phir sunā na gayā

    karūñ to kis se karūñ dard nā-rasā kaar gila

    ki mujh ko le ke dil-e-dost meñ samā na gayā

    kahāñ kHanda-e-be-jā kahāñ zinda-dilī

    kisī pe hañs liye itnā ki phir hañsā na gayā

    butoñ ko dekh ke sab ne ḳhudā ko pahchānā

    ḳhudā ke ghar to koī banda-e-ḳhudā na gayā

    kirshn huuñ pujārī 'alī banda huuñ

    'yagānā' shān-e-ḳhudā dekh kar rahā na gayā

    payam-e-zer-e-lab aisa ki kuchh suna na gaya

    ishaara pate hi angDai li raha na gaya

    hansi mein wa'da-e-farda ko Talne walo

    lo dekh lo wahi kal aaj ban ke aa na gaya

    KHarab phirta hai diwana kyun bagula sa

    zamin mein surat-e-ab-e-rawan sama na gaya

    pukarta raha kis-kis ko Dubne wala

    KHuda the itne magar koi aaDe aa na gaya

    samajhte kya the magar sunte the tarana-e-dard

    samajh mein aane laga jab to phir suna na gaya

    karun to kis se karun dard na-rasa kar gila

    ki mujh ko le ke dil-e-dost mein sama na gaya

    kahan ka kHanda-e-be-ja kahan ki zinda-dili

    kisi pe hans liye itna ki phir hansa na gaya

    buton ko dekh ke sab ne KHuda ko pahchana

    KHuda ke ghar to koi banda-e-KHuda na gaya

    kirshn ka hun pujari 'ali ka banda hun

    'yagana' shan-e-KHuda dekh kar raha na gaya

    Source :
    • Book : Nairang-e-Khayaal (Pg. 171)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now