dena hai agar tujhko de apne khzane se
denā hai agar tujh ko de apne khzāne se
ahbāb-o-aqārib ke denā na bahāne se
maiñ 'āshiq-e-shaidā huuñ dīvāna tumhārā huuñ
nazroñ meñ kabhī aao hiile se bahāne se
din-bhar rahī be-tābī shab-bhar rahī be-ḳhvābī
ai jān-e-jahāñ mere ghar tere na aane se
chilman se nikal aao kyuuñ chhupte ho farmāo
hai tum se shanāsā.ī mujh ko bhī zamāne se
taḌpāo na 'āshiq ko baat itnī merī sun lo
nazdīk raho mere sarko na sirhāne se
nazroñ meñ mere 'hāziq' shāhoñ kī haqīqat kyā
hai dar pe jabīñ-sā.ī ḳhvāja ke zamāne se
dena hai agar tujh ko de apne khzane se
ahbab-o-aqarib ke dena na bahane se
main 'ashiq-e-shaida hun diwana tumhaara hun
nazron mein kabhi aao hile se bahane se
din-bhar rahi be-tabi shab-bhar rahi be-KHwabi
ai jaan-e-jahan mere ghar tere na aane se
chilman se nikal aao kyun chhupte ho farmao
hai tum se shanasai mujh ko bhi zamane se
taDpao na 'ashiq ko baat itni meri sun lo
nazdik raho mere sarko na sirhane se
nazron mein mere 'haziq' shahon ki haqiqat kya
hai dar pe jabin-sai KHwaja ke zamane se
- Book : Anwaar-e-Ghaib (Pg. 78)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.