yanh pir-e-mai-KHana hazrat hamin hain
yañh pīr-e-mai-ḳhāna hazrat hamīñ haiñ
salāmat haiñ ahl-e-malāmat hamīñ haiñ
amīn-e-sujūd-e-mohabbat hamīñ haiñ
tirī bandagī kī haqīqat hamīñ haiñ
larazte hue kohsāroñ ke aage
uThā leñ jo bār-e-amānat hamīñ haiñ
dil-e-zinda har qabr tan se uThegā
jo nazdīk hai vo qiyāmat hamīñ haiñ
idhar dekh haq ko agar dekhnā hai
ḳhudā-e-mohabbat kī sūrat hamīñ haiñ
tire kufr-o-īmāñ se kyā kaam ham ko
baharhāl rahmat hī rahmat hamīñ haiñ
mohabbat kisī ne kisī se bhī kī ho
magar us mohabbat kī ġhāyat hamīñ haiñ
mohabbat ḳhudā lā-sharīk-lahu hai
mohabbat mohabbat mohabbat hamīñ haiñ
yanh pir-e-mai-KHana hazrat hamin hain
salamat hain ahl-e-malamat hamin hain
amin-e-sujud-e-mohabbat hamin hain
teri bandagi ki haqiqat hamin hain
larazte hue kohsaron ke aage
uTha len jo bar-e-amanat hamin hain
dil-e-zinda har qabr tan se uThega
jo nazdik hai wo qiyamat hamin hain
idhar dekh haq ko agar dekhna hai
KHuda-e-mohabbat ki surat hamin hain
tere kufr-o-iman se kya kaam hum ko
baharhaal rahmat hi rahmat hamin hain
mohabbat kisi ne kisi se bhi ki ho
magar us mohabbat ki ghayat hamin hain
mohabbat KHuda la-sharik-lahu hai
mohabbat mohabbat mohabbat hamin hain
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 145)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.