Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye dil hai wo makan jo la-makan wale ki manzil hai

Aughat Shah Warsi

ye dil hai wo makan jo la-makan wale ki manzil hai

Aughat Shah Warsi

MORE BYAughat Shah Warsi

    ye dil hai vo makāñ jo lā-makāñ vaale manzil hai

    vo lailā hai isī meñ ye usī lailā mahmil hai

    na ḳhush aatā hai sahrā aur na dil bastī meñ lagtā hai

    ye kaisī kashmakash meñ jaan hai aur kaisī mushkil hai

    yahī dekhā tamāshā ke ham ne bazm-e-jānāñ meñ

    kahīñ lāsha taḌaptā hai kisī raqs-e-bismil hai

    jise dekhā use ghāyal kiyā hai chashm-e-jānāñ ne

    bachegī jaan kyūñkar aañkh bhī qātil qātil hai

    hamesha ham-baġhal vo rashk-e-lailā hai tasavvur meñ

    merī āġhosh goyā ai junūñ āġhosh-e-mahmil hai

    kiyā be-ghāT hai 'aughat' janāb-e-shah-'vāris'ne ne

    samajh meñ ḳhud nahīñ aatī hai aisī apnī manzil hai

    ye dil hai wo makan jo la-makan wale ki manzil hai

    wo laila hai isi mein ye usi laila ka mahmil hai

    na KHush aata hai sahra aur na dil basti mein lagta hai

    ye kaisi kashmakash mein jaan hai aur kaisi mushkil hai

    yahi dekha tamasha ja ke hum ne bazm-e-jaanan mein

    kahin lasha taDapta hai kisi ja raqs-e-bismil hai

    jise dekha use ghayal kiya hai chashm-e-jaanan ne

    bachegi jaan kyunkar aankh bhi qatil ki qatil hai

    hamesha ham-baghal wo rashk-e-laila hai tasawwur mein

    meri aaghosh goya ai junun aaghosh-e-mahmil hai

    kiya be-ghaT hai 'aughat' janab-e-shah-'waris'ne ne

    samajh mein KHud nahin aati hai aisi apni manzil hai

    Source :
    • Book : Faizan-e-Warsi Al-Maruf Zamzama-e-Qawwali (Pg. 8)
    • Author : Aughat Shah Warsi
    • Publication : Jayyad Barqi Press, Delhi
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now