ye jahan bhi tu hai isko aaKHiri manzil bhi tu
ye jahāñ bhī tū hai is kī āḳhirī manzil bhī tū
bānī-e-mahfil bhī tū hai ḳhātim-e-mahfil bhī tū
bū-e-gul kā hai ta.alluq barg-e-gul se jis tarh
merī duniyā se alag bhī tū hai aur shāmil bhī tū
tujh se zāhir kī tajallī tujh se bātin kā subūt
shāhid-e-mahmil-nashīñ bhī hai tuuhī mahmil bhī tū
āsmānoñ par tirā jalva zamīñ par terā nuur
partav-e-mā'būd bhī tū banda-e-kāmil bhī tū
tū nazar meñ ho to tūfāñ kyā hai mauj-e-bahr kyā
qa.ar-e-dariyā meñ bhī tū hī hai sar-e-sāhil bhī tū
tū ma.āl-e-āshiqī hai tū kamāl-e-husn hai
sham.a-e-mahfil bhī hai tū parvāna-e-mahfil bhī tū
jis kī yazdāñ ko tamannā jis kī 'ālam ko talāsh
vo surūr-e-jāñ bhī tū hai vo sukūn-e-dil bhī tū
yā mohammad terā 'maikash' terī mahfil terā jaam
hāsil-e-mastī bhī tū hai mastī-e-hāsil bhī tū
ye jahan bhi tu hai is ki aaKHiri manzil bhi tu
bani-e-mahfil bhi tu hai KHatim-e-mahfil bhi tu
bu-e-gul ka hai talluq barg-e-gul se jis tarh
meri duniya se alag bhi tu hai aur shamil bhi tu
tujh se zahir ki tajalli tujh se baatin ka subut
shahid-e-mahmil-nashin bhi hai tuhi mahmil bhi tu
aasmanon par tera jalwa zamin par tera nur
partaw-e-ma'bud bhi tu banda-e-kaamil bhi tu
tu nazar mein ho to tufan kya hai mauj-e-bahr kya
qar-e-dariya mein bhi tu hi hai sar-e-sahil bhi tu
tu maal-e-ashiqi hai tu kamal-e-husn hai
shama-e-mahfil bhi hai tu parwana-e-mahfil bhi tu
jis ki yazdan ko tamanna jis ki 'alam ko talash
wo surur-e-jaan bhi tu hai wo sukun-e-dil bhi tu
ya mohammad tera 'maikash' teri mahfil tera jam
hasil-e-masti bhi tu hai masti-e-hasil bhi tu
- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.18 (Pg. 287)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.