ye kahan lagi ye kahan lagi ki qafas se aaj dhuan uTha
ye kahan lagi ye kahan lagi ki qafas se aaj dhuan uTha
Riyaz Khairabadi
MORE BYRiyaz Khairabadi
Interesting Fact
(صبح امید لکھنو دسمبر۱۹۱۹ ء)
jale āshiyāne jo dil kī tarah chaman se shor-e-fuġhāñ uThā
ye kahāñ lagī ye kahāñ lagī ki qafas se aaj dhuāñ uThā
koī mast-e-mai-kada aa gayā mai-e-be-ḳhudī pilā gayā
na sadā-e-naġhma-e-dair uThe na haram se shor-e-azāñ uThā
laggī aag mere jigar meñ yuuñ na lage kisī ke bhī ghar meñ yuuñ
na to lau uThī na sharar uThe na chamak uThī na dhuāñ uThā
tujhe mai-farosh ḳhabar bhī hai ye maqām kyā hai ye kyā hai shai
ye rah-e-haram meñ dukān-e-mai tū yahāñ se apnī dukāñ uThā
ga.e saath sheḳh-e-haram ke ham na milā koī na liye qadam
na to ḳham baḌhā na subū jhukā jo uThā to pīr-e-muġhāñ uThā
lab-e-ḳhum se nikle sadā-e-qum sar-e-dosh aise hazār ḳhum
ḳham-e-āsmāñ bhī ho jis meñ gum vo syaah abr kahāñ uThā
ye saped-rīsh 'riyāz' hai jo banā hai bazm meñ va.az-go
use kyuuñ na abr-e-siyāh kahūñ ki baras paḌā ye jahāñ uThā
jale aashiyane jo dil ki tarah chaman se shor-e-fughan uTha
ye kahan lagi ye kahan lagi ki qafas se aaj dhuan uTha
koi mast-e-mai-kada aa gaya mai-e-be-KHudi pila gaya
na sada-e-naghma-e-dair uThe na haram se shor-e-azan uTha
laggi aag mere jigar mein yun na lage kisi ke bhi ghar mein yun
na to lau uThi na sharar uThe na chamak uThi na dhuan uTha
tujhe mai-farosh KHabar bhi hai ye maqam kya hai ye kya hai shai
ye rah-e-haram mein dukan-e-mai tu yahan se apni dukan uTha
gae sath sheKH-e-haram ke hum na mila koi na liye qadam
na to KHam baDha na subu jhuka jo uTha to pir-e-mughan uTha
lab-e-KHum se nikle sada-e-qum sar-e-dosh aise hazar KHum
KHam-e-asman bhi ho jis mein gum wo syah abr kahan uTha
ye saped-rish 'riyaz' hai jo bana hai bazm mein waz-go
use kyun na abr-e-siyah kahun ki baras paDa ye jahan uTha
- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 104)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.