Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

ye kaun ġhazal-ḳhwāñ hai pur-soz o nashāt-añgez

Allama Iqbal

ye kaun ġhazal-ḳhwāñ hai pur-soz o nashāt-añgez

Allama Iqbal

MORE BYAllama Iqbal

    ye kaun ġhazal-ḳhvāñ hai pur-soz o nashāt-añgez

    andesha-e-dānā ko kartā hai junūñ-āmez

    go faqr bhī rakhtā hai andāz-e-mulūkāna

    nā-puḳhta hai parvezī be-saltanat-e-parvez

    ab hujra-e-sūfī meñ vo faqr nahīñ baaqī

    ḳhūn-e-dil-e-sherāñ ho jis faqr dastāvez

    ai halqa-e-darveshāñ vo mard-e-ḳhudā kaisā

    ho jis ke garebāñ meñ hañgāma-e-rustā-ḳhez

    jo zikr garmī se sho.ale tarah raushan

    jo fikr sur.at meñ bijlī se ziyāda tez

    kartī hai mulūkiyyat āsār-e-junūñ paidā

    allāh ke nishtar haiñ taimūr ho chañgez

    yuuñ dād-e-suḳhan mujh ko dete haiñ iraq o pāras

    ye kāfir-e-hindi hai be-teġh-o-sināñ ḳhūñ-rez

    ye kaun ġhazal-ḳhwāñ hai pur-soz o nashāt-añgez

    andesha-e-dānā ko kartā hai junūñ-āmez

    go faqr bhī rakhtā hai andāz-e-mulūkāna

    nā-puḳhta hai parwezī be-saltanat-e-parwez

    ab hujra-e-sūfī meñ wo faqr nahīñ baqī

    ḳhūn-e-dil-e-sherāñ ho jis faqr dastāwez

    ai halqa-e-darweshāñ wo mard-e-ḳhudā kaisā

    ho jis ke garebāñ meñ hañgāma-e-rustā-ḳhez

    jo zikr garmī se shoale tarah raushan

    jo fikr surat meñ bijlī se ziyāda tez

    kartī hai mulūkiyyat āsār-e-junūñ paidā

    allāh ke nishtar haiñ taimūr ho chañgez

    yuñ dād-e-suḳhan mujh ko dete haiñ iraq o pāras

    ye kāfir-e-hindi hai be-teġh-o-sināñ ḳhūñ-rez

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now