ye kis ne nigahon se saghar pilae KHudi par meri be-KHudi ban ke chhae
ye kis ne nigahon se saghar pilae KHudi par meri be-KHudi ban ke chhae
Saeed Shahidi
MORE BYSaeed Shahidi
ye kis ne nigāhoñ se sāġhar pilā.e ḳhudī par mirī be-ḳhudī ban ke chhā.e
ḳhabar-dār ai dil maqām-e-adab hai kahīñ bāda-noshī pe dhabba na aa.e
mohabbat vo kyā jis meñ ḳhuddāriyāñ hoñ ibādat vo kyā jis meñ pābandiyāñ hoñ
haqīqat meñ zāhid vahī bandagī hai jahāñ sar jhuke āstāñ jhuum jaa.e
ka.ī baar Duube ka.ī baar ubhre ka.ī baar Takrā ke sāhil pe aa.e
talāsh-e-talab meñ vo lazzat milī hai duā kar rahā huuñ ki manzil na aa.e
ye kis ne nigahon se saghar pilae KHudi par meri be-KHudi ban ke chhae
KHabar-dar ai dil maqam-e-adab hai kahin baada-noshi pe dhabba na aae
mohabbat wo kya jis mein KHuddariyan hon ibaadat wo kya jis mein pabandiyan hon
haqiqat mein zahid wahi bandagi hai jahan sar jhuke aastan jhum jae
kai bar Dube kai bar ubhre kai bar Takra ke sahil pe aae
talash-e-talab mein wo lazzat mili hai dua kar raha hun ki manzil na aae
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 182)
- Author : Meraj Ahmed Nizami
- Edition : Second
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.