ye mere pir ka mujh par karam hai
ye mere piir kā mujh par karam hai
jidhar dekhūñ udhar apnā sanam hai
kuchh aisā hai kamāl-e-pīr ai dil
badalnā ruup us kā ek sitam hai
samajhtā hai judā tū piir ko kyuuñ
sarāpā tujh meñ vo terā sanam hai
fanā kar piir meñ hastī ko apnī
ye ḳhud az kaar tasvīr-e-sanam hai
ta'ayyun kī judā.ī hai samajh le
terī hastī jo hai 'ain-e-’adam hai
ba-zāhir haq ko haq bande ko banda
samajh 'nā.ib' adab meñ ye rasm hai
ye mere pir ka mujh par karam hai
jidhar dekhun udhar apna sanam hai
kuchh aisa hai kamal-e-pir ai dil
badalna rup us ka ek sitam hai
samajhta hai juda tu pir ko kyun
sarapa tujh mein wo tera sanam hai
fana kar pir mein hasti ko apni
ye KHud az kar taswir-e-sanam hai
ta'ayyun ki judai hai samajh le
teri hasti jo hai 'ain-e-’adam hai
ba-zahir haq ko haq bande ko banda
samajh 'naib' adab mein ye rasm hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.