yun ambiya hain mere payambar ke samne
yuuñ ambiyā haiñ mere payambar ke sāmne
taare hoñ jis tarah mah-e-anvar ke sāmne
zāhid ko qasr-e-ḳhuld mubārak ho yā-nabī
bistar faqīr kā ho tire ghar ke sāmne
dekhā hai jis ne qāmat-e-hazrat vo kahtā hai
gulshan meñ ḳhaak jā.ūñ sanobar ke sāmne
jis murde ko na hazrat-e-'īsā jilā sakeñ
le aao uus ko mere payambar ke sāmne
kuchh to samajh liyā hai jo dil se uThā ke haath
baiThā huuñ sar jhukā.e tire dar ke sāmne
ai 'lutf' is ġhazal ko madīna meñ chal ke paḌh
hai qadar is kī sāhib-e-jauhar ke sāmne
yun ambiya hain mere payambar ke samne
tare hon jis tarah mah-e-anwar ke samne
zahid ko qasr-e-KHuld mubarak ho ya-nabi
bistar faqir ka ho tere ghar ke samne
dekha hai jis ne qamat-e-hazrat wo kahta hai
gulshan mein KHak jaun sanobar ke samne
jis murde ko na hazrat-e-'isa jila saken
le aao us ko mere payambar ke samne
kuchh to samajh liya hai jo dil se uTha ke hath
baiTha hun sar jhukae tere dar ke samne
ai 'lutf' is ghazal ko madina mein chal ke paDh
hai qadar is ki sahib-e-jauhar ke samne
- Book : naat ke chand shora-e-motaqidin (Pg. 60)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.