Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

yun na aankhen badal mujhse mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga

Fana Bulandshahri

yun na aankhen badal mujhse mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga

Fana Bulandshahri

MORE BYFana Bulandshahri

    yuuñ na āñkheñ badal mujh se mere sanam maiñ tire dar se uTh kar kahāñ jā.ūñgā

    agar mujh se dāman bachātā rahā sar tire dar se Takrā ke mar jā.ūñgā

    ho chukī haiñ zamāne meñ rusvā.iyāñ ab nigāheñ churāne se kyā fā.ida

    bhulā de mujhe apne dil se magar maiñ jahāñ jā.ūñgā terā kahlā.ūñgā

    chāñd-tāroñ se nazreñ milā.e hue kaaT dūñgā shab-e-hijr meñ is tarah

    jab bhī furqat ke lamhe sitam Dhā.eñge maiñ tirī yaad se dil ko bahlā.ūñgā

    apne dil pe sahūñgā mohabbat ke ġham tujh ko badnām hone na dūñgā kabhī

    ye mirā zarf hai ye mirī baat hai tujh pe ilzām aayā to mar jā.ūñgā

    terī ḳhātir salīqe se sajda karūñ hai yahī aarzū hai yahī justujū

    mujh ko mil jaa.e gar terā naqsh-e-qadam maiñ 'ibādat meñ me'arāj jā.ūñgā

    pyaar tujh se kiyā hai ḳhudā qasam ye ta'alluq kabhī TuuT saktā nahīñ

    apnī hastī miTā kar tire 'ishq meñ tere jalvoñ ā.īna ban jā.ūñgā

    aaj tum ko mire dil se nisbat nahīñ maiñ 'fanā' huuñ zarā tum bhī ye soch lo

    kal agar tum mujhe DhūñDne aaoge maiñ sitāroñ duniyā meñ kho jā.ūñgā

    jazba-e-ishq merā salāmat rahe maut aa.egī ḳhud le ke jām-e-baqā

    ai 'fanā' un ulfat meñ ho ke fanā har qadam par na.ī zindagī pā.ūñgā

    yun na aankhen badal mujh se mere sanam main tere dar se uTh kar kahan jaunga

    tu agar mujh se daman bachata raha sar tere dar se Takra ke mar jaunga

    ho chuki hain zamane mein ruswaiyan ab nigahen churane se kya faida

    tu bhula de mujhe apne dil se magar main jahan jaunga tera kahlaunga

    chand-taron se nazren milae hue kaT dunga shab-e-hijr mein is tarah

    jab bhi furqat ke lamhe sitam Dhaenge main teri yaad se dil ko bahlaunga

    apne dil pe sahunga mohabbat ke gham tujh ko badnam hone na dunga kabhi

    ye mera zarf hai ye meri baat hai tujh pe ilzam aaya to mar jaunga

    teri KHatir saliqe se sajda karun hai yahi aarzu hai yahi justuju

    mujh ko mil jae gar tera naqsh-e-qadam main 'ibaadat mein me'araj pa jaunga

    pyar tujh se kiya hai KHuda ki qasam ye ta'alluq kabhi TuT sakta nahin

    apni hasti miTa kar tere 'ishq mein tere jalwon ka aaina ban jaunga

    aaj tum ko mere dil se nisbat nahin main 'fana' hun zara tum bhi ye soch lo

    kal agar tum mujhe DhunDne aaoge main sitaron ki duniya mein kho jaunga

    jazba-e-ishq mera salamat rahe maut aaegi KHud le ke jam-e-baqa

    ai 'fana' un ki ulfat mein ho ke fana har qadam par nai zindagi paunga

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now