yun to bande ka zamane mein hai banda aashiq
yun to bande ka zamane mein hai banda aashiq
Shaah Faaiq Shahbazi
MORE BYShaah Faaiq Shahbazi
yuuñ to bande kā zamāne meñ hai banda 'āshiq
par ḳhudā bhī kahīñ hotā hai kisī kā 'āshiq
qais lailā pe to yūsuf pe zulaiḳhā 'āshiq
aap ke husn pe ḳhud ḳhāliq-e-yaktā 'āshiq
dast-e-anvar pe hue hazrat-e-mūsā 'āshiq
lab-e-jāñ-baḳhsh ke haiñ ḳhizr-o-masīhā 'āshiq
aap ke 'ishq se hotā hai mukammal īmāñ
hai vahī momin-e-kāmil jo hai sachchā 'āshiq
allāh allāh re vo sur’at-e-raftār-e-burrāq
huī bijlī bhī jo dekhā ye nazāra 'āshiq
qaus ne abrū-e-pur-ḳham kī balā.eñ le liiñ
māh-ruḳh-e-partav-e-jabīñ par huī zohra 'āshiq
'uqd par diiñ dur-e-dandāñ pe lagā karne nisār
ruḳh-e-anvar pe huā maah bhī aisā 'āshiq
mushtarī ko bhī huā zulf-e-nabī kā saudā
mehr ko mehr huā ho gayā ruḳh kā 'āshiq
dil se faa.iq kī tarah rū-e-nabī par ho nisār
hai 'abas gul pe tu ai bulbul-e-shaidā 'āshiq
yun to bande ka zamane mein hai banda 'ashiq
par KHuda bhi kahin hota hai kisi ka 'ashiq
qais laila pe to yusuf pe zulaiKHa 'ashiq
aap ke husn pe KHud KHaliq-e-yakta 'ashiq
dast-e-anwar pe hue hazrat-e-musa 'ashiq
lab-e-jaan-baKHsh ke hain KHizr-o-masiha 'ashiq
aap ke 'ishq se hota hai mukammal iman
hai wahi momin-e-kaamil jo hai sachcha 'ashiq
allah allah re wo sur’at-e-raftar-e-burraq
hui bijli bhi jo dekha ye nazara 'ashiq
qaus ne abru-e-pur-KHam ki balaen le lin
mah-ruKH-e-partaw-e-jabin par hui zohra 'ashiq
'uqd par din dur-e-dandan pe laga karne nisar
ruKH-e-anwar pe hua mah bhi aisa 'ashiq
mushtari ko bhi hua zulf-e-nabi ka sauda
mehr ko mehr hua ho gaya ruKH ka 'ashiq
dil se faiq ki tarah ru-e-nabi par ho nisar
hai 'abas gul pe tu ai bulbul-e-shaida 'ashiq
- Book : Armaghan-e-Faaeq (Pg. 85)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.