yun wo mahfil mein ba-sad shan bane baiThe hain
yun wo mahfil mein ba-sad shan bane baiThe hain
Pir Naseeruddin Naseer
MORE BYPir Naseeruddin Naseer
yuuñ vo mahfil meñ ba-sad shaan bane baiThe haiñ
merā dil aur mirī jaan bane baiThe haiñ
un kī sūrat nikhar aa.ī pas-e-zīnat kyā kiyā
dīda-e-kHalq kā armān bane baiThe haiñ
jin ko ādāb tak aate nahīñ darbānī aaj
aaj is dar pe vo darbān bane baiThe haiñ
mujh ko dekhā to ġhazabnāk hue TuuT paḌe
kyā ḳhabar thī ki vo tūfān bane baiThe haiñ
jo haiñ sultān vo phirte haiñ gadāoñ kī tarah
jo gadāgar haiñ vo sultān bane baiThe haiñ
mahfil-e-nāz meñ bulvā bhī liyā hai mujh ko
aur phir mujh se vo anjān bane baiThe haiñ
ahl-e-dil par vo ġhussa hai na vo qahr-o-sitam
ḳhair se aaj vo insān bane baiThe haiñ
dekhte hī nahīñ qasdan vo hamārī jānib
jaan kar ham se vo anjān bane baiThe haiñ
ai 'nasīr' un ko sar-e-bazm zarā dekho to
ik tamāsha kā vo unvān bane baiThe haiñ
yun wo mahfil mein ba-sad shan bane baiThe hain
mera dil aur meri jaan bane baiThe hain
un ki surat nikhar aai pas-e-zinat kya kiya
dida-e-kHalq ka arman bane baiThe hain
jin ko aadab tak aate nahin darbani aaj
aaj is dar pe wo darban bane baiThe hain
mujh ko dekha to ghazabnak hue TuT paDe
kya KHabar thi ki wo tufan bane baiThe hain
jo hain sultan wo phirte hain gadaon ki tarah
jo gadagar hain wo sultan bane baiThe hain
mahfil-e-naz mein bulwa bhi liya hai mujh ko
aur phir mujh se wo anjaan bane baiThe hain
ahl-e-dil par wo ghussa hai na wo qahr-o-sitam
KHair se aaj wo insan bane baiThe hain
dekhte hi nahin qasdan wo hamari jaanib
jaan kar hum se wo anjaan bane baiThe hain
ai 'nasir' un ko sar-e-bazm zara dekho to
ek tamasha ka wo unwan bane baiThe hain
- Book : Kulliyat-e-Naseer Gilani (Pg. 821)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.