zaban-e-jalwa se hai goya jahan ka sara nigar-KHana
zabān-e-jalva se hai goyā jahāñ kā saarā nigār-ḳhāna
fasāna-e-ġhair ik haqīqat haqīqat-e-ġhair ik fasāna
hamārī duniyā badal ke rakh dī nazar kā milnā huā bahāna
udhar nigāheñ milīñ kisī se idhar ye dil ban gayā nishāna
gunāhgāroñ pe hañsne vaalo na yuuñ kisī kā mazāq uḌaao
na jaane hisse meñ kis ke aa.e ḳhudā kī rahmat kā shāmiyāna
janāb-e-vā'iz hamārī laġhzish hamārī had tak vabāl hogī
qadam tumhāre jo Dagmagā.eñ to Dagmagā jā.egā zamāna
tirī mohabbat meñ zindagī hai usī meñ kuchh lutf-e-bandagī hai
baḌe maze se guzar rahī hai hamārā sar terā āstāna
tumhāre har nāvik-e-nigah ko ham apne dil meñ biThā hī leñge
hamārā zimma idhar to dekho ḳhatā na hogā koī nishāna
bas ik tirī ḳhvājgī Tikī hai hamāre me'yār-e-bandagī par
mazāq-e-sajda bhī itnā ūñchā buland hai jitnā āstāna
jab us ne dekhā to jī uThe ham nazar phirā lī to mar ga.e ham
'ajab tamāshe kī zindagī hai abhī haqīqat abhī fasāna
shabāb-e-gulshan nisār tum par fidā hai har ik bahār tum par
siyāh gesū ghanī ghaTā.eñ nashīlī āñkheñ sharāb-ḳhāna
kahāñ kā dil kaisī jaan sāhib yahāñ to īmān pe aa banī hai
ki husn ḳhud mustaqil qayāmat phir us pe andāz-e-kāfirāna
kalām-e-‘kāmil’ kī shohratoñ kā sabab faqat un se rabt-o-nisbat
ġhazal ke har she'r par hai gahrā chaḌhā huā rañg-e-’āshiqāna
zaban-e-jalwa se hai goya jahan ka sara nigar-KHana
fasana-e-ghair ek haqiqat haqiqat-e-ghair ek fasana
hamari duniya badal ke rakh di nazar ka milna hua bahana
udhar nigahen milin kisi se idhar ye dil ban gaya nishana
gunahgaron pe hansne walo na yun kisi ka mazaq uDao
na jaane hisse mein kis ke aae KHuda ki rahmat ka shamiyana
janab-e-wa'iz hamari laghzish hamari had tak wabaal hogi
qadam tumhaare jo Dagmagaen to Dagmaga jaega zamana
teri mohabbat mein zindagi hai usi mein kuchh lutf-e-bandagi hai
baDe maze se guzar rahi hai hamara sar tera aastana
tumhaare har nawik-e-nigah ko hum apne dil mein biTha hi lenge
hamara zimma idhar to dekho KHata na hoga koi nishana
bas ek teri KHwajgi Tiki hai hamare me'yar-e-bandagi par
mazaq-e-sajda bhi itna uncha buland hai jitna aastana
jab us ne dekha to ji uThe hum nazar phira li to mar gae hum
'ajab tamashe ki zindagi hai abhi haqiqat abhi fasana
shabab-e-gulshan nisar tum par fida hai har ek bahaar tum par
siyah gesu ghani ghaTaen nashili aankhen sharab-KHana
kahan ka dil kaisi jaan sahib yahan to iman pe aa bani hai
ki husn KHud mustaqil qayamat phir us pe andaz-e-kafirana
kalam-e-‘kaamil’ ki shohraton ka sabab faqat un se rabt-o-nisbat
ghazal ke har she'r par hai gahra chaDha hua rang-e-’ashiqana
- Book : Surood-e-Ruhani (Pg. 280)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.