paDh raha tha kal tak jo zohd ka maqala shaiKH
paḌh rahā thā kal tak jo zohd kā maqāla shaiḳh
ho gayā hai rindoñ kā aaj ham-piyāla shaiḳh
us taraf gayā vaa.iz shaiḳh is taraf aayā
ban gayā haqīqat meñ shāḳh kā imāla shaiḳh
ek sāġhar-e-shaffāf siina ā.īna-e-dil saaf
nafs ke zamā.im kā farz hai izāla shaiḳh
chhoḌ kar haram aisī jā.idād-e-bā-tauqīr
le rahā hai saaqī se dair kā qabāla shaiḳh
mai-kade meñ aate hī ā.gaye tamām ādāb
pī rahā hai saaqī ke jaam kā ġhassāla shaiḳh
dāvat-e-gazak radd ho ye gunāh-e-shara.ī hai
ehtiyāt-e-taqva hai ek do nivāla shaiḳh
fatah uzr-e-mastī ne paa.ī uzr-e-shara.ī par
kar sakā na rindoñ se hīla-o-havāla shaiḳh
le 'zahīn' se koī jām-e-ātish-tar tar le
aag aur paanī kā dekh istihāla shaiḳh
paDh raha tha kal tak jo zohd ka maqala shaiKH
ho gaya hai rindon ka aaj ham-piyala shaiKH
us taraf gaya waiz shaiKH is taraf aaya
ban gaya haqiqat mein shaKH ka imala shaiKH
ek saghar-e-shaffaf sina aaina-e-dil saf
nafs ke zamaim ka farz hai izala shaiKH
chhoD kar haram aisi jaidad-e-ba-tauqir
le raha hai saqi se dair ka qabaala shaiKH
mai-kade mein aate hi aagaye tamam aadab
pi raha hai saqi ke jam ka ghassala shaiKH
dawat-e-gazak radd ho ye gunah-e-sharai hai
ehtiyat-e-taqwa hai ek do niwala shaiKH
fatah uzr-e-masti ne pai uzr-e-sharai par
kar saka na rindon se hila-o-hawala shaiKH
le 'zahin' se koi jam-e-atish-tar tar le
aag aur pani ka dekh istihaala shaiKH
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 67)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.