jab main na dekhta hun to dekha karun tujhe
jab maiñ na dekhtā huuñ to dekhā karūñ tujhe
but-kHāna-e-kHayāl meñ puujā karūñ tujhe
ghabrā gayā huuñ dair-o-haram kī quyūd se
kyā ālam-e-ḳhayāl meñ puujā karūñ tujhe
haañ kyuuñ rahe sharīk-e-ibādat ḳhayāl-e-ġhair
kyā maiñ nahīñ rahā huuñ ki sajda karūñ tujhe
phir kyā rahegā valvala-e-shauq-e-dīd meñ
ai vo nazar ki sirf tamāsha karūñ tujhe
lag jaa.eñ tere husn kī shohrat ko chār-chāñd
rusvā mujhe kiyā hai to rusvā karūñ tujhe
jab hai vafūr-e-husn qusūr-e-nigāh kyā
ai e'tirāf-e-kam-nighī kyā karūñ tujhe
terī nigāh se tujhe dekhā karūñ 'zahīn'
apnī nigāh se bhī chhupāyā karūñ tujhe
jab main na dekhta hun to dekha karun tujhe
but-kHana-e-kHayal mein puja karun tujhe
ghabra gaya hun dair-o-haram ki quyud se
kya aalam-e-KHayal mein puja karun tujhe
han kyun rahe sharik-e-ibaadat KHayal-e-ghair
kya main nahin raha hun ki sajda karun tujhe
phir kya rahega walwala-e-shauq-e-did mein
ai wo nazar ki sirf tamasha karun tujhe
lag jaen tere husn ki shohrat ko chaar-chand
ruswa mujhe kiya hai to ruswa karun tujhe
jab hai wafur-e-husn qusur-e-nigah kya
ai e'tiraf-e-kam-nighi kya karun tujhe
teri nigah se tujhe dekha karun 'zahin'
apni nigah se bhi chhupaya karun tujhe
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 417)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.