dil ja raha hai hath se hath aa raha hai kya
dil jā rahā hai haath se haath aa rahā hai kyā
samjhā hai dil ne kyā mujhe samjhā rahā hai kyā
hadd-e-nazar se duur nazar aa rahā hai kyā
dil tujh se be-hijāb huā jā rahā hai kyā
chashm-e-hayā ko ā.īna dikhlā rahā hai kyā
dil ārzū-e-shauq se sharmā rahā hai kyā
terī taraf nigāh thī laġhzish nigāh kī
kyā māñgtā hai zauq-e-nazar pā rahā hai kyā
thā shart jis kī yaad meñ har shai ko bhūlnā
har shai kī yaad se vahī yaad aa rahā hai kyā
maiñ ne 'zahīn' jis pe luTā.ī thī zindagī
vo merī zindagī hī banā jā rahā hai kyā
dil ja raha hai hath se hath aa raha hai kya
samjha hai dil ne kya mujhe samjha raha hai kya
hadd-e-nazar se dur nazar aa raha hai kya
dil tujh se be-hijab hua ja raha hai kya
chashm-e-haya ko aaina dikhla raha hai kya
dil aarzu-e-shauq se sharma raha hai kya
teri taraf nigah thi laghzish nigah ki
kya mangta hai zauq-e-nazar pa raha hai kya
tha shart jis ki yaad mein har shai ko bhulna
har shai ki yaad se wahi yaad aa raha hai kya
main ne 'zahin' jis pe luTai thi zindagi
wo meri zindagi hi bana ja raha hai kya
- Book : Aayat-e-Jamaal (Pg. 276)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.