wo dam-e-zulf-e-siyah ka bichhae jate hain
vo dām-e-zulf-e-siyāh kā bichhā.e jaate haiñ
hamāre dil ko phañsā.e jaate haiñ
alhī kaun sī hasrat hamārī niklegī
raqīb-e-bazm-e-tarab se haTā.e jaate haiñ
unhīñ pe ham ne diyā dil unhīñ pe marte haiñ
vo dekh lījiye āñkheñ churā.ī jaatī haiñ
ḳhudā hai jaane kis kā ye hogā dil lekin
tumhāre saaya se ab tak bachā.e jaate haiñ
suḳhan ke jauharī par khuleñge is javāhar ko
'zamīr' ham dar-e-mazmūn luTā.e jaate haiñ
wo dam-e-zulf-e-siyah ka bichhae jate hain
hamare dil ko phansae jate hain
alhi kaun si hasrat hamari niklegi
raqib-e-bazm-e-tarab se haTae jate hain
unhin pe hum ne diya dil unhin pe marte hain
wo dekh lijiye aankhen churai jati hain
KHuda hai jaane kis ka ye hoga dil lekin
tumhaare saya se ab tak bachae jate hain
suKHan ke jauhari par khulenge is jawahar ko
'zamir' hum dar-e-mazmun luTae jate hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.