hum ko jaana tumko jaana parda andar tumhin to ho
ham ko jaanā tum ko jaanā parda andar tumhīñ to ho
zāhir-o-bātin tumhīñ to ho aur avval āḳhir tumhīñ to ho
fatvā de kar kufr kā tum ne qatl kiyā hai 'āshiq ko
lafz-e-anal-haq bol ke be-ḳhud daar ke uupar tumhīñ to ho
ahad se ahmad pyaar ban ke ummat kā sālār banā
sall-e-'alā mahbūb-e-ḳhudā yā shāfe'-e-mahshar tumhīñ to ho
nahnu-aqrab kah kar pyāre parda meñ tum kHuub chhupe
ab to ham pahchān ga.e haiñ jaanī dilbar tumhīñ to ho
'āshiq-e-shaidā jalva kā apne kalīm muusā taklīmā
rab arinī kah ke hālān-e-tūr ke uupar tumhīñ to ho
avval 'āshiq aap hue ho nūr-e-nabī par zāt-e-ḳhudā
āḳhir kyā kyā rañg dikhā kar sāqī-e-kausar tumhīñ to ho
jaise 'āshiq tum pe huā hai ‘zāmin’-e-miskīñ hazrat-e-'ishq
mere qibla mere kā'ba mere maz.har tumhīñ to ho
hum ko jaana tum ko jaana parda andar tumhin to ho
zahir-o-baatin tumhin to ho aur awwal aaKHir tumhin to ho
fatwa de kar kufr ka tum ne qatl kiya hai 'ashiq ko
lafz-e-anal-haq bol ke be-KHud dar ke upar tumhin to ho
ahad se ahmad pyar ban ke ummat ka salar bana
sall-e-'ala mahbub-e-KHuda ya shafe'-e-mahshar tumhin to ho
nahnu-aqrab kah kar pyare parda mein tum kHub chhupe
ab to hum pahchan gae hain jaani dilbar tumhin to ho
'ashiq-e-shaida jalwa ka apne kalim musa taklima
rab arini kah ke haalan-e-tur ke upar tumhin to ho
awwal 'ashiq aap hue ho nur-e-nabi par zat-e-KHuda
aaKHir kya kya rang dikha kar saqi-e-kausar tumhin to ho
jaise 'ashiq tum pe hua hai ‘zamin’-e-miskin hazrat-e-'ishq
mere qibla mere ka'ba mere mazhar tumhin to ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.