har ka bhed na paya zamin har ka bhed na paya re
har kā bhed na paayā zāmin har kā bhed na paayā re
aap hī parghaT ho harjā.ī aap meñ aap samāyā re
aap kahe vo nahnu-aqrab aap kahe fī-anfusikum
aap kahe vo takHat qabā.ī va'bud kyuuñ farmāyā re
jab tak thā vo parda-nashīñ sagrā bhed rahā thā chhupā
parghaT ho kar byākul batiyāñ ant.takhāru paḌhāyā re
it aur ut aur meñ tū piyāre vahm ḳhayāl baḌhāyā re
zāhir bātin aap niranjan aap ko aap dikhāyā re
apnā aap gumān kar pyāre bol anal-haq mat sharmā
gur ke maiñ balhārī jā.ūñ piyā kā bhed batāyā re
hasan husain aur fātima haidar ek parī kī shakl banā
ahad ne le kar miim kā parda ahmad naam rakhāyā re
vahī to bolā rabbe-arenī lantarānī aap kahā
Daal ḳhalīl ko naar ke andar kyā kyā shor machāyā re
suulī par mansūr chaḌhā yā sar kaTvāyā sarmad kā
'ishq ne dekho yaar 'azīzo kaisā naach nachāyā re
aadam se jab aadmī nikle aadam kañh se aayā rai
sabhī malāyak siis navā veñ harinī ne ye gaayā re
aap hī 'zāmin' aap hī maz.har aap hī sābir aap hī ḳhudā
be-rañgī jab rañg meñ aayā kyā kyā rañg dikhāyā re
har ka bhed na paya zamin har ka bhed na paya re
aap hi parghaT ho harjai aap mein aap samaya re
aap kahe wo nahnu-aqrab aap kahe fi-anfusikum
aap kahe wo takHat qabai wa'bud kyun farmaya re
jab tak tha wo parda-nashin sagra bhed raha tha chhupa
parghaT ho kar byakul batiyan anttakhaaru paDhaya re
it aur ut aur mein tu piyare wahm KHayal baDhaya re
zahir baatin aap niranjan aap ko aap dikhaya re
apna aap guman kar pyare bol anal-haq mat sharma
gur ke main balhaari jaun piya ka bhed bataya re
hasan husain aur fatima haidar ek pari ki shakl bana
ahad ne le kar mim ka parda ahmad nam rakhaya re
wahi to bola rabbe-areni lantarani aap kaha
Dal KHalil ko nar ke andar kya kya shor machaya re
suli par mansur chaDha ya sar kaTwaya sarmad ka
'ishq ne dekho yar 'azizo kaisa nach nachaya re
aadam se jab aadmi nikle aadam kanh se aaya rai
sabhi malayak sis nawa wen harini ne ye gaya re
aap hi 'zamin' aap hi mazhar aap hi sabir aap hi KHuda
be-rangi jab rang mein aaya kya kya rang dikhaya re
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.