dilbar-e-jaanan-e-man kar de karam
Interesting Fact
تضمین بر کلام مولانا جلال الدین رومی
dilbar-e-jānān-e-man kar de karam
jaise mumkin ho tu rakh merā bharam
bas ghaḌī bhar ke liye aajā sanam
aarzū dāram ki mehmānat kunam
jān-o-dil ai dost qurbānat kunam
dil pe mere choT kuchh aisī lagī
har nafs baḌhne lagī dīvāngī
merī āñkhoñ ne kahā un se yahī
gar yaqīñ dānam ki bar man 'āshiqī
az jamāl-e-ḳhvesh hairānat kunam
tere dar tak aa gayā dīvāna-vār
ab fidā ho jā.ūñgā parvāna-vār
sar bhī hāzir kar diyā msatānā-vār
gar che tark-e-sar kunī mardāna-vār
ham chuuñ ismā'īl qurbānat kunam
us ziyā ko kis jagah laayā hai tū
tū hī aatā hai nazar bas chār-sū
merī āñkheñ tujh pe qurbāñ māh-rū
'shams'-e-tabrezī bā-maulānā ba-go
daftar-e-asrār-e-dīvāna kunam
dilbar-e-jaanan-e-man kar de karam
jaise mumkin ho tu rakh mera bharam
bas ghaDi bhar ke liye aaja sanam
aarzu daram ki mehmanat kunam
jaan-o-dil ai dost qurbanat kunam
dil pe mere choT kuchh aisi lagi
har nafs baDhne lagi diwangi
meri aankhon ne kaha un se yahi
gar yaqin danam ki bar man 'ashiqi
az jamal-e-KHwesh hairanat kunam
tere dar tak aa gaya diwana-war
ab fida ho jaunga parwana-war
sar bhi hazir kar diya msatana-war
gar che tark-e-sar kuni mardana-war
hum chun isma'il qurbanat kunam
us ziya ko kis jagah laya hai tu
tu hi aata hai nazar bas chaar-su
meri aankhen tujh pe qurban mah-ru
'shams'-e-tabrezi ba-maulana ba-go
daftar-e-asrar-e-diwana kunam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.