zulm hota hai jafaon pe jafa hoti hai
zulm hotā hai jafāon pe jafā hotī hai
yuuñ adā rasm mohabbat kī adā hotī hai
kyā kahūñ hijr meñ hālat mirī kyā hotī hai
jān-levā shab-e-furqat kī balā hotī hai
phir to kuchh aur hī ho jaatā hai naqsha apnā
terī tasvīr jab āñkhoñ se judā hotī hai
nāz-o-andāz hasīnoñ ke liye zevar haiñ
dil-rubā hotī hai jo un kī adā hotī hai
rūh-parvar hai abhī bāda-e-ulfat lekin
aage chal kar yahī mia-hosh-rubā hotī hai
aur baḌh jaatī hai āshufta-sarī 'āshiq kī
sar se jab tā-ba-kamar zulf-e-rasā hotī hai
maut kā vaqt kisī tarh Tale nā-mumkin
aahī jaatī hai jab aane ko qazā hotī hai
kHūgar-e-zulm-o-jafā mujh ko banāyā thā magar
phir ye aġhyār pe kyuuñ mashq-e-jafā hotī hai
kushta-e-nāz kī turbat ye tire parda-nashīñ
ek halkī sī mohabbat kī ridā hotī hai
gar namāzoñ meñ nahīñ un kī huzūrī hāsil
phir to kā'be meñ adā ho to qazā hotī hai
jis se ho jaatī hai mahshar meñ qiyāmat barpā
terī pāzeb kī ghañgru kī sadā hotī hai
dil-e-muztar ke taḌapne se shab-e-furqat meñ
ik qiyāmat mire ghar roz bapā hotī hai
chal rahī haiñ tire andāz kī chhuriyāñ dil par
tujh se saffāk kahīñ terī adā hotī hai
jab vo aa jaate haiñ sajde ko maiñ jhuk jaatā huuñ
yuuñ hī har roz namāz apnī adā hotī hai
ruḳh-e-pur-nūr tasavvur meñ hai 'mohsin' un kā
isī sūrat se mire dil kī jilā hotī hai
zulm hota hai jafaon pe jafa hoti hai
yun ada rasm mohabbat ki ada hoti hai
kya kahun hijr mein haalat meri kya hoti hai
jaan-lewa shab-e-furqat ki bala hoti hai
phir to kuchh aur hi ho jata hai naqsha apna
teri taswir jab aankhon se juda hoti hai
naz-o-andaz hasinon ke liye zewar hain
dil-ruba hoti hai jo un ki ada hoti hai
ruh-parwar hai abhi baada-e-ulfat lekin
aage chal kar yahi mia-hosh-ruba hoti hai
aur baDh jati hai aashufta-sari 'ashiq ki
sar se jab ta-ba-kamar zulf-e-rasa hoti hai
maut ka waqt kisi tarh Tale na-mumkin
aahi jati hai jab aane ko qaza hoti hai
kHugar-e-zulm-o-jafa mujh ko banaya tha magar
phir ye aghyar pe kyun mashq-e-jafa hoti hai
kushta-e-naz ki turbat ye tere parda-nashin
ek halki si mohabbat ki rida hoti hai
gar namazon mein nahin un ki huzuri hasil
phir to ka'be mein ada ho to qaza hoti hai
jis se ho jati hai mahshar mein qiyamat barpa
teri pazeb ki ghangru ki sada hoti hai
dil-e-muztar ke taDapne se shab-e-furqat mein
ek qiyamat mere ghar roz bapa hoti hai
chal rahi hain tere andaz ki chhuriyan dil par
tujh se saffak kahin teri ada hoti hai
jab wo aa jate hain sajde ko main jhuk jata hun
yun hi har roz namaz apni ada hoti hai
ruKH-e-pur-nur tasawwur mein hai 'mohsin' un ka
isi surat se mere dil ki jila hoti hai
- Book : Kulliyat-e-Mohsin
- Author : Shah Mohsin Danapuri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.