zulm karte hain wafa ho jaise
zulm karte haiñ vafā ho jaise
yā vafāoñ kā silā ho jaise
yuuñ merī samt na dekhā us ne
mujh ko hī dekh rahā ho jaise
un kā andāz-e-ḳhamoshī allāh
abhī kuchh mujh se kahā ho jaise
kuchh nahīñ phir bhī hai sab kuchh ye jahāñ
un kā naqsh-e-kaf-e-pā ho jaise
aisī kyā shai thī mohabbat kī nazar
ham ne kuchh jurm kiyā ho jaise
ye bhī ik tarz-e-karam hai 'maikash'
zāhiran mujh se ḳhafā ho jaise
zulm karte hain wafa ho jaise
ya wafaon ka sila ho jaise
yun meri samt na dekha us ne
mujh ko hi dekh raha ho jaise
un ka andaz-e-KHamoshi allah
abhi kuchh mujh se kaha ho jaise
kuchh nahin phir bhi hai sab kuchh ye jahan
un ka naqsh-e-kaf-e-pa ho jaise
aisi kya shai thi mohabbat ki nazar
hum ne kuchh jurm kiya ho jaise
ye bhi ek tarz-e-karam hai 'maikash'
zahiran mujh se KHafa ho jaise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.