Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Khaaliq-bari

Amir Khusrau

Khaaliq-bari

Amir Khusrau

MORE BYAmir Khusrau

    ḳhāliq-bārī sirjan-hār

    vāhid ek badā kartār

    rasūl paiġhambar jaan basisht

    yaar dost bole ishT

    ism-e-allāh khudā naauñ

    garmā dhuup siyāh hai chhāñv

    raah tarīq sabīl pahchān

    arth tihū mārag jaan

    sas hai mah niir ḳhurshīd

    kaalā ujlā siyāh safed

    piilā niilā zard kabūd

    taanā baanā tār-o-pūd

    quvvat niirū zor bal aan

    sāriq duzd chor hai jaan

    mard manush zan hai istirī

    qaht akaal vabā hai marī

    dosh kālah raat jo ga.ī

    imshab aaj raat jo bha.ī

    turā ba-guftam maiñ tujh kahiyā

    kujā ba-māñdī tuuñ kit rahyā

    biyā birādar aav re bhaa.ī

    ba-nashīñ mādar baiThī maa.ī

    vālid baap beTā farzand

    duḳhtar beTī sikh hai pand

    sā'va sarīcha mamolā jaan

    kauvā zaaġh kulāġh pahchān

    ātish aag aab hai paanī

    ḳhaak dhuul jo baad uḌānī

    mushk kāfūr ast kastūrī kapūr

    hindavī ānand shādī-o-surūr

    asp ghoḌā fiil hāthī sher singh

    gosht heḌā charm chamḌā shahm piih

    shīr-o-juġhrāt āmada dūdh-o-dahī

    roġhan aamad ghī va doġh aamad mahī

    zar buvad sonā siim chītal nuqra ruupā

    jaama kappaḌ TaaT TappaḌ Dabbā kuupā

    ḳhanjar-o-shamshīr samsām-ast teġh

    hindavī khāñDā kahāve aan man meġh

    ḳhaal til bāshad gilevāz-o-zaġhan

    chiil hai dar gosh kun guftār-e-man

    arz dhartī fārsī bāshad zamīñ

    koh dar hindī pahāḌ aamad yaqīñ

    kāh-o-hezum ghaas kaaTī jāniye

    īñT-o-māTī ḳhisht-o-gil pahchāniye

    deg-o-hāñDī kafchah Doī be-ḳhatā

    ba guzgān ast kaḌāhī-o-tavā

    sañg pāthar jāniye bargan uThāv

    asp mīrāñ hindavī ghoḌā chalāv

    muush chuhā gurba billī maar naag

    sozan-o-rishta ba-hindī suī taag

    chālanī ġhirbāl chākī āsiyā

    degdāñ chūlhā va kundū koThiyā

    sard shītal garm taatā chiir saḳht

    narm kañvlā niish Dañk aurañg taḳht

    jārūb sohnī ke sabad ast Tokrā

    miqrāz katarnī ke buvad usturā chhurā

    ummīd aas bāshad nā-ummīd hai nirās

    charḳh-o-falak sip.har buvad āsmāñ ākās

    rān-o-faḳhz ke jāñgh buvad naaz lāDlā

    ustuḳhvāñ haaḌ bāshad dīvāna bāvlā

    baada sharāb-o-rāvaq-o-sahabā mai ast-o-mad

    gar jur.a zaan ḳhurī kunī kaare nek bad

    rāyat livāy neza buvad sipar ast Dhaal

    lab-e-āb nadī hauz digar server ast taal

    tā.ūs mor bāshad o durrāj tetarā

    ḳhūb-o-nīko bhalā-o-bad-o-zisht hai burā

    dahīm-o-tāj-o-afsar dar hindavī mukat

    zāġh-e-burīda par jaan kaag kaT

    gauhān-o-dahar-o-getī duniyāy digar jahāñ

    dar hindavī prithvī sansār jag be-dāñ

    shab-gīr-o-lail-o-shab badāñ raat rain nis

    fānīz-o-qand-o-shakar gun jaan zahar bis

    jān-o-ravān-o-jīv tan-o-kālbud kiiyā

    ’ādat chū ḳhū-e-sahaj badāñ ātifat mayā

    dil hai hiyā-o-ḳhātir-o-andesha chetanā

    mehmān-o-zaif ba-dānī ke pāhunā

    ummul-kitāb fātiha al-hamd jaako naañv

    ummul-qurā makka badāñ qarya deh gaañv

    hirbā girgiT kazdum bichchhū raasū neval

    sag hai kuttā maahī machhlī luqma keval

    dushman bairī kos damāma bārāñ meh

    ishq mohabbat āshiq mitr jaanī neh

    to.am savād-o-ta.ām ḳhurish jo kahiye khānā

    ālim-o-dānā hindavī bol jo kahiye syānā

    siina chhātī pistāñ chūchī biinī naak

    zāhir paidā pargaT diise tāhir paak

    tap larza dar hindavī aamad juuḌī taap

    dard-e-sar aamad sir piiḌā tag hai dhaap

    haama kāchak māñthā kapār kahiye Thāñv

    chuuñ dar hindavī marā ba-pursī khopaḌī naañv

    duud kājal surma añjan qīmat mol

    chākar sevak banda cherā qaul so bol

    mis hai tāñbā roiiñ kāñsā aahan loh

    tesha basūlā tabar kulhāḌā ġhadar diroh

    ġhaar maġhāk jo gaDDhā kahiye kuaañ chaah

    dariyā bahr samundar kahiye jaakī nāhīñ thaah

    gandum gehūñ naḳhūd chanā shālī hai dhaan

    zurrat jūnharī adas masūr barg hai paan

    abrū bhaveñ sablat mochheñ dandāñ daañt

    riish mahāsin DāḌhī kahiye rūdah aañt

    ḳhad ruḳhsār hindavī bol jo kahiye gaal

    aaj imroz badāñ fardā ba-goī kaal

    minjal ast va daas dāñtī jaako naañv

    turb muulī daar suulī hai Thāñv

    sard sītal garm taatā chīra saḳht

    narm polā niish Dañk aurañg taḳht

    ġhalla afshāñ chhāj hai afshāñ pachhor

    shavī shauhar hindavī hai manas tor

    Dhāknī sar-posh chapanī jāniye

    hai dhuāñ dūd-o-duḳhāñ pahchāniye

    pamba daana badāñ habb-e-qutun dar taazī

    vale bi-naula badāñ chuuñ ba-hindī andāzī

    mūsal ast ma.arūf hāvan okhlī

    hiiz annīn fajal nar aamad lalī

    fārsī rubāh hindavī lokhaḌī

    mākiyāñ niiz mīḳhvāñ kūkaḌī

    kūkaḌā mīḳhvāñ ḳhurūs-e-sub.h-ḳhvāñ

    niiz mīḳhvāñ dek dar taazī zabāñ

    qasr-o-koshak hisn dar taazī hisār

    hujra koThā baam aTārī dar dvaar

    azb-o-shīrīn ast mīThā chākh dekh

    talḳh kaḌvā tursh khaTTā aakh dekh

    zaft aiThan charb chīkan shor khaar

    tez charpar jiibh jaane ye vichār

    kāġhaz-o-qirtās kāġhaz ekhiye

    ham qalam ham ḳhāma lekhan lekhiye

    durr-o-marvārīd motī jāniye

    ham sadaf siipī samundar māniye

    saur sutūr gaav hai balad

    ḳhvāhī lādau ḳhvāhī alad

    zamb gunāh jo kahiye dos

    ḳhashm-o-ġhazab dar hindavī ros

    sargīñ gobar fala hai pevasī

    kudāl klund jo kahiye kassī

    buzurgī baḌā.ī-o-pīrī buḌhāpā

    nikoī bhalā.ī javānī tanāpā

    lisān-o-zabān fārsī jiibh aakho

    darḳht-o-shajar tum ruukh bhākho

    daroġh-o-digar kizb tum jhūTh jaano

    buzurg-o-kalāñ baḌā jaan maano

    ba-hindī zabāñ ḳhāna ham bait ghar hai

    chū ḳhauf-o-ḳhatar biim ham tars Dar hai

    tamanna-o-ham-ārzū chaav kahiye

    yad-o-dast-o-hāth-o-qadam paañv kahiye

    charāġh ast diiyā fatīla ast baatī

    buvad jadd daada nabīr ast naatī

    kaddū ḳharbuzah har do ma.arūf mī-dāñ

    ḳhayār ast kakḌī va khīra hamī-ḳhvāñ

    darobār dahlīz baar jaano

    shutur uuñT ghoḌā faras asp maano

    girah aqd bāshad batāzī va lekin

    ba-hindī buvad gāñTh ba-shino to az man

    nahār va digar yaum roz ast jaano

    ba-hindī zabāñ divas din pahchāno

    kasīr-o-farāvān-o-bisyār afzūñ

    basā bahut kahiye sabhī jāniyo tuuñ

    samandar rahe aag meñ jiiv kiiḌā

    chū buad ast dūr-o-chū-nazdīk niiḌā

    namak malah hai lon shīrīn mīThā

    ba-hindī zabāñ bad-maza ast sīThā

    pidar baap bāshad chū umm ast mādar

    sināñ bhaal bar-gustavāñ ast pākhar

    dabāb-o-magas mākhī va passhsha māchhar

    buvad reg baalū va sañg-reza kāñkar

    bayā aao nashīn baiTh baro

    ba-bīñ dekh ba-deh de ba-ḳhūr khā

    basā piis bakash khīñch bachash chākh

    bazan maar badar phaaḌ baneh raakh

    gulū halaq dahan mukh suḳhan bol

    shikam peT nazar dīshT duhul Dhol

    tabīb-o-hakīm ast bed ai birādar

    buvad baad baavo digar aag aazar

    digar gosh kun va.az-o-andarz-o-pand

    ba-hindī buvad siikh darkār-band

    ḳharāb ast vīrāñ ujḌā hamī-ḳhvāñ

    ma.amūr ābād bastā hamī-dāñ

    hast ibnul-lail māh-e-āsmāñ

    chāñd beTā raat taazī zabāñ

    lail shab-e-dījūr dar taazī zabāñ

    raat añdhiyārī neko-tar badāñ

    dādan denā daad diyā fe.al car

    qarz-o-vām-o-den dar hindī udhār

    āfat-o-āseb hai rañj-o-balā

    hayya zinda jāniyo tum jīvatā

    shāna-o-misht ast dar hindī zabāñ

    kañghī aamad pesh kardam bayāñ

    kirm-e-shab-tāb ast kiiḌā chamaknāñ

    niiz goyand ātashak uu badāñ

    naan batāzī ḳhubz roTī hindavī

    pamba-o-mahlūj mī-dāñ ruī

    pas ba-hindī pamba mī-dāñ kapās

    nasr kargas buum ullū bū-e-bās

    bād-bazan bād-kash pañkhā ba-ḳhvāñ

    ġhūk-o-zifda meñDkī be-shak badāñ

    saag sabzī bahuj shādī surḳh sohā laal

    sabz hariyā dāsht dhariyā maañd rahyā daam jaal

    fajr sub.h-o-zuhar peshīñ asr dīgar shaam sāñjh

    daañ zan-e-zā.inda jantī hai aqīma jo.e bāñjh

    siir aghanā kuur kaanā bhed raaz

    gurisna bhūkā piyāsā tishna baaz

    himār agar turā pursand chīst ḳhar-ast

    ba-hindavī buvad gadahā ke bār-barast

    ḳhargosh kharhā bāshad aahū buvad hiran

    añgushtarī añgūThī pairāya ābharan

    ba-shino naam charḳh-e-be-chāra pīr-zan

    goyand naam rahaTā dar hindavī bachan

    pechak be-dāñ puunī pāġhund gāla‌‌‌-dāñ

    duuk ast naam takla āvurda-am bayāñ

    ā.īna aarsī ke dar rū-e-biñgarī

    sevā ba-hindī badāñ naame chākarī

    sinād allāt ahran fittīs tupak

    mī-dāñ hathauḌā bāshad be-chūn-o-be-charā

    chīñTī ast naam morcha pissū-ast nām-e-kaik

    aañ ko payām-o-nāma ba-ro qāsid-ast paik

    bedār be-dāñ ki jāgtā hai

    ham ḳhufta be-dāñ ke sovatā hai

    mī-dāñ subū ghaḌā va subūcha be-dāñ ghaḌī

    chuuñ tīr-e-saqaf bāshad dar hindavī kaḌī

    tagrag ast ham sañgcha zhāla olā

    chū zīrak syānā va nādān bholā

    aḳhroT jauz-e-ḳhurāsāñ badāñ

    digar nāriyal jauz-e-hindī ba-ḳhvāñ

    hiz.hbar ast nāhar pilañg ast chītā

    chū gurg ast bheḌā va karag ast gaiñDā

    dīgar klāvah kukḌī ham resmān suut

    insāñ shumār manush va mī-dāñ dev bhuut

    qufl kalīd jo taalā killī

    gurba ḳhaital jo kahiye billī

    sharm laaj poshīdan Dhañknā

    car hai kaaj ḳhvāstan māñgnā

    kaivān-o-zuhal sanīchar aamad

    ūdait ba-fārsī ḳhor aamad

    mirrīḳh ba-zabān-e-hindavaī mañgal

    raa.ī ba-zabān-e-fārsī ḳhurdal

    budh hai atārid gar ba-dānī

    uu dabīr-e-charḳh ba-ḳhvānī

    birjīs-o-mushtarī brihaspat

    qāzī-e-sip.har dar sa.ādat

    shud sukr hindavī zohra naam

    ḳhunyāgar-e-āsmāñ dil-ārām

    hindavī pīpal buvad filfil darāz

    mirch filfil gird goyad baaz

    jozboyā jā.efal be-shak badāñ

    ham qaranful lauñg kakḌī ba-ḳhvāñ

    hindavī goyand ḳhurmā khajūr

    daakh fārsī mī-dāñ añgūr

    zanjabīl-ast sindhī aamad soñTh niiz

    chhāniye ai miit ya.ane babīz

    bīmār marīz dukhiyā jaan

    bārgīr uThāo baaj hai daan

    andhā nā-bīnā va biinā dekhtā

    qabr bāshad gor ġhaltāñ loTtā

    paikān-o-zirah baktar ast gāñsī

    ham ḳhanda va qahqaha hast hāñsī

    dira.a gaz mīzāñ tarāzū vazan taul

    dam nafas daftar jarīda dalo Dol

    mashriq jo kahūñ pūrab naañv

    maġhrib dar hindavī pachhāñv

    hai junūb dakhkhin or

    ham shumāl uttar chhor

    ham farāz-o-pesh aagā jāniye

    ham aqab pāchhe yaqīñ pahchāniye

    aqrab batāzī bichchhū kazdum burj-e-falak

    pishmur sarosh-o-farishta malak

    ham namūna bāñgī aTkal qayās

    itr-o-ḳhushbūe va shamīm-o-bū-e-bās

    baldah shahar aamad nagar kūcha galī

    ḳhaar kāñTā phuul gul ġhuncha kalī

    āqibat-anjām ākhir kaam hai

    ham-pyāla nām-e-sāġhar jaam hai

    rāst-o-chap ham yamīn-ast-o-yasār

    hindavī dāhinā bāyāñ bichār

    kapār-ast-o-peshānī-o-ham-jabīñ

    chū iqbāl-o-daulat buvad lachhmīñ

    badāñ mardumak pūtlī amn-chain

    digar ain ham-chashm ham-dīda nain

    buvad hoñT lab zaanū ham rkba-dāñ

    digar naaf nām-e-tūñdī ba-ḳhvāñ

    jigar daañ kaleja suparz-ast tillī

    ke pahlū buvad hindavī pāñslī

    baiz-e-seh-shab hast yaqīñ daañ ze-mah

    sīzdahum chahār-dahum pāñzda

    tiin raat hai ghanīñ chāñdnī

    terahīñ chaudahīñ pandrahīñ

    ham tarah saag āmada tambūl paan

    za.afarāñ kesar hinā mehñdī badāñ

    aslaha hathiyār buvad aahar āshkār

    razm-o-ġhā jañg digar kār-zār

    zanjabīl-o-sindhī aamad soñTh naam

    ham qaranful lauñg aamad rañg faam

    tuut farsā dast khīrā bādrañg

    chhīñkā āvañg hindavī Dhol hai dirañg

    hardī goī zard chob aamad suḳhan

    dhaniya gashnīz-ast majlis anjuman

    daañ halīla haḌ va ham angūza hiiñg

    a.aaj hāthī daañt bāshad shāḳh siiñg

    nām-e-kañval badāñ nīlofar-ast

    kaukaba jaish-o-hasham daañ lashkar-ast

    kashtī-o-zauraq badāñ naav hai

    zaḳhmo jarāhat badāñ ghaav hai

    zībaq-o-sīmāb paara jāniye

    hindavī gūgird gandhak māniye

    nārī-o-bukā hindavī hai roz

    ham pai asar surāġh hai khoj

    rañj chū tashvīsh buvad dard piir

    qaus kamān-ast digar tiir

    rasm-o-ā.īñ ba-shino az man riit hai

    nusrat-o-ham-fat.h naam jiit hai

    fārsī sīmurġh anqā hast tadrau-o-kabk hans

    ham-chū yarqān-ast nuur hai zer-o-nasl bañs

    bulbul aamad andalīb-o-chiḌiyā gunjashik daañ

    hindavī TiiḌī malaḳh jal-kūkaḌ murġhābī ba-ḳhvāñ

    shabcharā raḳhsh-o-tagāvar ḳhañg tausan hai turañg

    babar zaiġham sher nāhar uuz chītā hai pilañg

    hiran aahū jāniye āhūbcha kahiye ġhazāl

    būzīna bandar ḳhurs rīchh aamad gīdaḌ shaġhāl

    mesh bheḌī qauj meñDhā ham sasā ḳhargosh hai

    astar aamad ḳhachchar-o-bhaiñsā badāñ jāmūs hai

    maah aamad som besha jañgal-ast

    hindavī mirrīḳh go mañgal-ast

    ham sukr ke zohra naam dārad

    asbāb-e-tarab mudām dārad

    mahbūb-o-habīb hai piyārā

    ham anjum-o-aḳhtar-ast taara

    hai chandra-gahan ḳhusūf mī-dāñ

    ham sūraj-gahan kusūf mī-ḳhvāñ

    saa.at ghaḌī pahar hai paas

    shahar aamad māh-e-hindavī maas

    dast biranjan kañgan kahiye paa.el hai ḳhalḳhāl

    pā-e-biranjan chauḌā kahiye ḳhūbī husn-o-jamāl

    gulū-band ko tilḌī kahiye aur hamā.il haar

    bāzū-band bhūjālī kahiye jo pairāya siñgār

    goshvāra dar hindavī barnūñ qaranful dar kaan

    gauhar luulū motī kahiye mūñgā hai marjān

    badlī meġh chū abr sahāb

    ahīlā sail chū kiich ḳhalāb

    añgushtarī añgūThī kahiye ḳhātam jaan nagīna

    hai zañgūla ghuñgrū jhumkā bichhvā maal ḳhazīna

    shab-charāġh yāqūt ratan hiirā hai almās

    aur zamurrad pannā kahiye kasvat jaan libās

    talā kundan sonā kahiye zevar abhran gahna

    naam jaḌāv mukallal bāshad aur murassā gahnā

    niyā-ḳhāl hindavī māmūñ-jān

    audir amū chachā bakhān

    birādar-zāda jaan bhatījā

    ḳhvāhar-zāda jo kahiye bhānjā

    ḳhalaf supūt muḳhālif bairī

    kursī taḳht jūlān hai beḌī

    ra.ad garaj kahiye ghanghor

    barq bijlī mauj hilaur

    bistar sej dolīchā qālīñ

    marġh-zār kahiye hariyālī

    gulistān-o-ham-bostāñ bāġh-bāḌī

    chaman qat.a bāshad ḳhayābāñ kyārī

    qulba hal hai zarā.at khetī

    marz-o-būm hai kahiye dhartī

    ḳhurdal raa.ī arzan chīnā

    daad sitad hai denā-lenā

    ḳhusur-pūra hai sāla-jān

    ḳhusur sasur aur haan ziyān

    charḳha rahaTā ġhalla raapā ġhalla-dāñ

    raañD beva zaal būḌhī ba-ḳhvāñ

    niiz pechak naam puunī jāniye

    ham kālāvah naam aañTī māniye

    duuk takla suut bāshad resmāñ

    jaan rīsīdan ba-hindī kātnā

    mūsal ast ma.arūf hāvan okhlī

    chob-dasta mūsal ast ḳhosha phalī

    vaah kanīzak kahiye cherī

    daam jaal jūlān hai beḌī

    sharm-o-hayā dar hindavī laaj

    hāsil kahiye baaj ḳhirāj

    tāle.a-baḳht jo kahiye bhaag

    lahn surūd-o-tarannum raag

    tifl-o-kūdak ḳhurd-o-bālā muñDa

    baiza dar hindavī-dāñ anDā

    muzhda naved ḳhush-ḳhabar bashārat

    chashmak iimā seen ishārat

    dastak hindavī taalī jaan

    añgushtak chuTkī pahchān

    hukhuk hichkī faz.hah jumā.ī

    ḳhamyāza kahiye añgḌā.ī

    atsañh chhī.k āroġh Dakār

    mahak kasauTī jaan ayyār

    āḳhir anjām hai niiz tamām

    ant baat hai ḳhatm kalām

    maulvī sāhab saran panāh

    gadā bhikhārī ḳhusrav shaah

    ḳhāliq-bārī bha.ī tamām

    duhūñ jag rahyā 'ḳhusrav' naam

    KHaliq-bari sirjan-haar

    wahid ek bada kartar

    rasul paighambar jaan basisht

    yar dost bole ja ishT

    ism-e-allah khuda ka naun

    garma dhup siyah hai chhanw

    rah tariq sabil pahchan

    arth tihu ka marag jaan

    sas hai mah nir KHurshid

    kala ujla siyah safed

    pila nila zard kabud

    tana bana tar-o-pud

    quwwat niru zor bal aan

    sariq duzd chor hai jaan

    mard manush zan hai istiri

    qaht akal waba hai mari

    dosh kalah raat jo gai

    imshab aaj raat jo bhai

    tura ba-guftam main tujh kahiya

    kuja ba-mandi tun kit rahya

    biya biradar aaw re bhai

    ba-nashin madar baiThi ri mai

    walid bap beTa farzand

    duKHtar beTi sikh hai pand

    sa'wa saricha mamola jaan

    kauwa zagh kulagh pahchan

    aatish aag aab hai pani

    KHak dhul jo baad uDani

    mushk kafur ast kasturi kapur

    hindawi aanand shadi-o-surur

    asp ghoDa fil hathi sher singh

    gosht heDa charm chamDa shahm pih

    shir-o-jughraat aamada dudh-o-dahi

    roghan aamad ghi wa dogh aamad mahi

    zar buwad sona sim chital nuqra rupa

    jama kappaD TaT TappaD Dabba kupa

    KHanjar-o-shamshir samsam-ast tegh

    hindawi khanDa kahawe aan man megh

    KHal til bashad gilewaz-o-zaghan

    chil hai dar gosh kun guftar-e-man

    arz dharti farsi bashad zamin

    koh dar hindi pahaD aamad yaqin

    kah-o-hezum ghas kaTi jaaniye

    inT-o-maTi KHisht-o-gil pahchaniye

    deg-o-hanDi kafchah Doi be-KHata

    ta ba guzgan ast kaDahi-o-tawa

    sang pathar jaaniye bargan uThaw

    asp miran hindawi ghoDa chalaw

    mush chuha gurba billi mar nag

    sozan-o-rishta ba-hindi sui tag

    chaalani ghirbaal chaaki aasiya

    degdan chulha wa kundu koThiya

    sard shital garm tata chir saKHt

    narm kanwla nish Dank aurang taKHt

    jarub sohni ke sabad ast Tokra

    miqraaz katarni ke buwad ustura chhura

    ummid aas bashad na-ummid hai niras

    charKH-o-falak siphar buwad aasman aakas

    ran-o-faKHz ke jaangh buwad naz laDla

    ustuKHwan haD bashad diwana bawla

    baada sharab-o-rawaq-o-sahaba mai ast-o-mad

    gar jura zan KHuri tu kuni kare nek bad

    rayat liway neza buwad sipar ast Dhaal

    lab-e-ab nadi hauz digar serwer ast tal

    taus mor bashad o durraj tetara

    KHub-o-niko bhala-o-bad-o-zisht hai bura

    dahim-o-taj-o-afsar dar hindawi mukat

    zagh-e-burida par ra tu jaan kag kaT

    gauhan-o-dahar-o-geti duniyay digar jahan

    dar hindawi tu prithwi sansar jag be-dan

    shab-gir-o-lail-o-shab tu badan raat rain nis

    faniz-o-qand-o-shakar gun jaan zahar bis

    jaan-o-rawan-o-jiw tan-o-kalbud kiya

    ’adat chu KHu-e-sahaj badan aatifat maya

    dil hai hiya-o-KHatir-o-andesha chetana

    mehman-o-zaif ra tu ba-dani ke pahuna

    ummul-kitab fatiha al-hamd jako nanw

    ummul-qura tu makka badan qarya deh ganw

    hirba girgiT kazdum bichchhu rasu newal

    sag hai kutta mahi machhli luqma kewal

    dushman bairi kos damama baran meh

    ishq mohabbat aashiq mitr jaani neh

    toam sawad-o-taam KHurish jo kahiye khana

    aalim-o-dana hindawi bol jo kahiye syana

    sina chhati pistan chuchi bini nak

    zahir paida pargaT dise tahir pak

    tap larza dar hindawi aamad juDi tap

    dard-e-sar aamad sir ki piDa tag hai dhap

    hama kachak mantha kapar ja kahiye Thanw

    chun dar hindawi mara ba-pursi khopaDi nanw

    dud kajal surma anjan qimat mol

    chaakar sewak banda chera qaul so bol

    mis hai tanba roin kansa aahan loh

    tesha basula tabar kulhaDa ghadar diroh

    ghaar maghak jo gaDDha kahiye kuan chah

    dariya bahr samundar kahiye jaki nahin thah

    gandum gehun naKHud chana shaali hai dhan

    zurrat junhari adas masur barg hai pan

    abru bhawen sablat mochhen dandan dant

    rish mahasin DaDhi kahiye rudah aant

    KHad ruKHsar hindawi bol jo kahiye gal

    aaj imroz badan farda ra tu ba-goi kal

    minjal ast wa das danti jako nanw

    turb muli dar suli ja hai Thanw

    sard sital garm tata chira saKHt

    narm pola nish Dank aurang taKHt

    ghalla afshan chhaj hai afshan pachhor

    shawi shauhar hindawi hai manas tor

    Dhakni sar-posh chapani jaaniye

    hai dhuan dud-o-duKHan pahchaniye

    tu pamba dana badan habb-e-qutun dar tazi

    wale bi-naula badan chun ba-hindi andazi

    musal ast maruf hawan okhli

    hiz annin fajal nar aamad lali

    farsi rubah hindawi lokhaDi

    makiyan ra niz miKHwan kukaDi

    kukaDa miKHwan KHurus-e-subh-KHwan

    niz miKHwan dek dar tazi zaban

    qasr-o-koshak hisn dar tazi hisar

    hujra koTha baam aTari dar dwar

    azb-o-shirin ast miTha chaakh dekh

    talKH kaDwa tursh khaTTa aakh dekh

    zaft aiThan charb chikan shor khaar

    tez charpar jibh jaane ye wichaar

    kaghaz-o-qirtas kaghaz ekhiye

    hum qalam hum KHama lekhan lekhiye

    durr-o-marwarid moti jaaniye

    hum sadaf sipi samundar maniye

    saur sutur gaw hai balad

    KHwahi ladau KHwahi alad

    zamb gunah jo kahiye dos

    KHashm-o-ghazab dar hindawi ros

    sargin gobar fala hai pewasi

    kudal klund jo kahiye kassi

    buzurgi baDai-o-piri buDhapa

    nikoi bhalai jawani tanapa

    lisan-o-zaban farsi jibh aakho

    darKHt-o-shajar ra tum rukh bhakho

    darogh-o-digar kizb tum jhuTh jaano

    buzurg-o-kalan ra baDa jaan mano

    ba-hindi zaban KHana hum bait ghar hai

    chu KHauf-o-KHatar bim hum tars Dar hai

    tamanna-o-ham-arzu chaw kahiye

    yad-o-dast-o-hath-o-qadam panw kahiye

    charagh ast diya fatila ast baati

    buwad jadd dada nabir ast nati

    kaddu KHarbuzah har do maruf mi-dan

    KHayar ast kakDi wa khira hami-KHwan

    darobar dahliz ra bar jaano

    shutur unT ghoDa faras asp mano

    girah aqd bashad batazi wa lekin

    ba-hindi buwad ganTh ba-shino to az man

    nahaar wa digar yaum roz ast jaano

    ba-hindi zaban diwas din ra pahchano

    kasir-o-farawan-o-bisyar afzun

    basa bahut kahiye sabhi jaaniyo tun

    samandar rahe aag mein jiw kiDa

    chu buad ast dur-o-chu-nazdik niDa

    namak malah hai lon shirin miTha

    ba-hindi zaban bad-maza ast siTha

    pidar bap bashad chu umm ast madar

    sinan bhaal bar-gustawan ast pakhar

    dabab-o-magas makhi wa passhsha machhar

    buwad reg baalu wa sang-reza kankar

    baya aao nashin baiTh baro ja

    ba-bin dekh ba-deh de ba-KHur kha

    basa pis bakash khinch bachash chaakh

    bazan mar badar phaD baneh rakh

    gulu halaq dahan mukh suKHan bol

    shikam peT nazar dishT duhul Dhol

    tabib-o-hakim ast bed ai biradar

    buwad baad bawo digar aag aazar

    digar gosh kun waz-o-andarz-o-pand

    ba-hindi buwad sikh darkar-band

    KHarab ast viran tu ujDa hami-KHwan

    tu mamur aabaad basta hami-dan

    hast ibnul-lail mah-e-asman

    chand beTa raat ka tazi zaban

    lail shab-e-dijur dar tazi zaban

    raat andhiyari tu neko-tar badan

    dadan dena dad diya feal car

    qarz-o-wam-o-den dar hindi udhaar

    aafat-o-aseb hai ranj-o-bala

    hayya zinda jaaniyo tum jiwata

    shana-o-misht ast dar hindi zaban

    kanghi aamad pesh tu kardam bayan

    kirm-e-shab-tab ast kiDa chamaknan

    niz goyand aatashak u ra badan

    nan batazi KHubz roTi hindawi

    pamba-o-mahluj ra mi-dan rui

    pas ba-hindi pamba ra mi-dan kapas

    nasr kargas bum ullu bu-e-bas

    baad-bazan baad-kash pankha ba-KHwan

    ghuk-o-zifda meinDki be-shak badan

    sag sabzi bahuj shadi surKH soha lal

    sabz hariya dasht dhariya mand rahya dam jal

    fajr subh-o-zuhar peshin asr digar sham sanjh

    dan zan-e-zainda janti hai aqima joe banjh

    sir aghana kur kana bhed raaz

    gurisna bhuka piyasa tishna baz

    himar agar tura pursand chist KHar-ast

    ba-hindawi buwad gadaha ke bar-barast

    KHargosh kharha bashad aahu buwad hiran

    angushtari anguThi pairaya aabharan

    ba-shino tu nam charKH-e-be-chaara pir-zan

    goyand nam rahaTa dar hindawi bachan

    pechak be-dan tu puni paghund gala‌‌‌-dan

    duk ast nam takla aawurda-am bayan

    aaina aarsi ke dar ru-e-bingari

    sewa ba-hindi tu badan name chaakari

    sinad allat ahran fittis tupak ra

    mi-dan hathauDa bashad be-chun-o-be-chara

    chinTi ast nam morcha pissu-ast nam-e-kaik

    aan ko payam-o-nama ba-ro qasid-ast paik

    bedar be-dan ki jagta hai

    hum KHufta be-dan ke sowata hai

    mi-dan subu ghaDa wa subucha be-dan ghaDi

    chun tir-e-saqaf bashad dar hindawi kaDi

    tagrag ast hum sangcha zhaala ola

    chu zirak syana wa nadan bhola

    tu aKHroT ra jauz-e-KHurasan badan

    digar nariyal jauz-e-hindi ba-KHwan

    hizhbar ast nahar pilang ast chita

    chu gurg ast bheDa wa karag ast gainDa

    digar klawah kukDi hum resman sut

    insan shumar manush wa mi-dan tu dew bhut

    qufl kalid jo tala killi

    gurba KHaital jo kahiye billi

    sharm laj poshidan Dhankna

    car hai kaj KHwastan mangna

    kaiwan-o-zuhal sanichar aamad

    udait ba-farsi KHor aamad

    mirriKH ba-zaban-e-hindawai mangal

    rai ba-zaban-e-farsi KHurdal

    budh hai atarid gar tu ba-dani

    u ra tu dabir-e-charKH ba-KHwani

    birjis-o-mushtari brihaspat

    qazi-e-siphar dar saadat

    shud sukr hindawi zohra nam

    KHunyagar-e-asman dil-aram

    hindawi pipal buwad filfil daraaz

    mirch filfil gird ra goyad baz

    jozboya jaefal be-shak badan

    hum qaranful laung ra kakDi ba-KHwan

    hindawi goyand KHurma ra khajur

    dakh ra tu farsi mi-dan angur

    zanjabil-ast sindhi aamad sonTh niz

    chhaniye ai mit tu yane babiz

    bimar mariz dukhiya jaan

    bargir uThao baj hai dan

    andha na-bina wa bina dekhta

    qabr bashad gor ghaltan loTta

    paikan-o-zirah baktar ast gansi

    hum KHanda wa qahqaha hast hansi

    dira gaz mizan taraazu wazan taul

    dam nafas daftar jarida dalo Dol

    mashriq jo kahun purab ka nanw

    maghrib dar hindawi pachhanw

    hai junub dakhkhin ka or

    hum shumal uttar ka chhor

    hum faraaz-o-pesh aaga jaaniye

    hum aqab pachhe yaqin pahchaniye

    aqrab batazi bichchhu kazdum burj-e-falak

    pishmur tu sarosh-o-farishta malak

    hum namuna bangi aTkal qayas

    itr-o-KHushbue wa shamim-o-bu-e-bas

    baldah shahar aamad nagar kucha gali

    KHar kanTa phul gul ghuncha kali

    aaqibat-anjam aakhir kaam hai

    ham-pyala nam-e-saghar jam hai

    rast-o-chap hum yamin-ast-o-yasar

    hindawi tu dahina bayan bichaar

    kapar-ast-o-peshani-o-ham-jabin

    chu iqbaal-o-daulat buwad lachhmin

    badan mardumak putli amn-chain

    digar ain ham-chashm ham-dida nain

    buwad honT lab zanu hum rkba-dan

    digar naf ra nam-e-tundi ba-KHwan

    jigar dan kaleja suparz-ast tilli

    ke pahlu buwad hindawi pansli

    baiz-e-seh-shab hast yaqin dan ze-mah

    sizdahum chahaar-dahum panzda

    tin raat hai ghanin chandni

    terahin chaudahin pandrahin

    hum tarah sag aamada tambul pan

    zafaran kesar hina mehndi badan

    aslaha hathiyar buwad aahar aashkar

    razm-o-gha jang digar kar-zar

    zanjabil-o-sindhi aamad sonTh nam

    hum qaranful laung aamad rang fam

    tut farsa dast khira baadrang

    chhinka aawang hindawi Dhol hai dirang

    hardi goi zard chob aamad suKHan

    dhaniya gashniz-ast majlis anjuman

    dan halila haD wa hum anguza hing

    aaaj hathi dant bashad shaKH sing

    nam-e-kanwal ra badan nilofar-ast

    kaukaba jaish-o-hasham dan lashkar-ast

    kashti-o-zauraq tu badan naw hai

    zaKHmo jarahat tu badan ghaw hai

    zibaq-o-simab para jaaniye

    hindawi gugird gandhak maniye

    nari-o-buka hindawi hai roz

    hum pai asar suragh hai khoj

    ranj chu tashwish buwad dard pir

    qaus kaman-ast digar tir

    rasm-o-ain ba-shino az man rit hai

    nusrat-o-ham-fath nam jit hai

    farsi simurgh anqa hast tadrau-o-kabk hans

    ham-chu yarqan-ast ka nur hai zer-o-nasl bans

    bulbul aamad andalib-o-chiDiya ra gunjashik dan

    hindawi TiDi malaKH jal-kukaD murghabi ba-KHwan

    shabchara raKHsh-o-tagawar KHang tausan hai turang

    babar zaigham sher nahar uz chita hai pilang

    hiran aahu jaaniye aahubcha kahiye ghazal

    buzina bandar KHurs richh aamad gidaD shaghaal

    mesh bheDi qauj meinDha hum sasa KHargosh hai

    astar aamad KHachchar-o-bhainsa badan jamus hai

    mah aamad som besha jangal-ast

    hindawi mirriKH ra go mangal-ast

    hum sukr ke zohra nam darad

    asbab-e-tarab mudam darad

    mahbub-o-habib hai piyara

    hum anjum-o-aKHtar-ast tara

    hai chandra-gahan KHusuf mi-dan

    hum suraj-gahan kusuf mi-KHwan

    saat ghaDi pahar hai pas

    shahar aamad mah-e-hindawi mas

    dast biranjan kangan kahiye pael hai KHalKHal

    pa-e-biranjan chauDa kahiye KHubi husn-o-jamal

    gulu-band ko tilDi kahiye aur hamail haar

    bazu-band bhujali kahiye jo pairaya singar

    goshwara dar hindawi barnun qaranful dar kan

    gauhar lulu moti kahiye munga hai marjaan

    badli megh chu abr sahab

    ahila sail chu kich KHalab

    angushtari anguThi kahiye KHatam jaan nagina

    hai zangula ghungru jhumka bichhwa mal KHazina

    shab-charagh yaqut ratan hira hai almas

    aur zamurrad panna kahiye kaswat jaan libas

    tala kundan sona kahiye zewar abhran gahna

    nam jaDaw mukallal bashad aur murassa gahna

    niya-KHal hindawi mamun-jaan

    audir amu chacha bakhan

    biradar-zada jaan bhatija

    KHwahar-zada jo kahiye bhanja

    KHalaf suput muKHalif bairi

    kursi taKHt julan hai beDi

    rad garaj kahiye ghanghor

    barq bijli mauj hilaur

    bistar sej dolicha qalin

    margh-zar kahiye hariyali

    gulistan-o-ham-bostan bagh-baDi

    chaman qata bashad KHayaban kyari

    qulba hal hai zaraat kheti

    marz-o-bum hai kahiye dharti

    KHurdal rai arzan china

    dad sitad hai dena-lena

    KHusur-pura hai sala-jaan

    KHusur sasur aur han ziyan

    charKHa rahaTa ghalla rapa ghalla-dan

    ranD bewa zal ra buDhi ba-KHwan

    niz pechak nam puni jaaniye

    hum kalawah nam aanTi maniye

    duk takla sut bashad resman

    jaan risidan ba-hindi katna

    musal ast maruf hawan okhli

    chob-dasta musal ast KHosha phali

    wah kanizak kahiye cheri

    dam jal julan hai beDi

    sharm-o-haya dar hindawi laj

    hasil kahiye baj KHiraj

    talea-baKHt jo kahiye bhag

    lahn surud-o-tarannum rag

    tifl-o-kudak KHurd-o-baala munDa ra

    baiza ra dar hindawi-dan anDa ra

    muzhda nawed KHush-KHabar bashaarat

    chashmak ima seen ishaarat

    dastak hindawi tali jaan

    angushtak chuTki pahchan

    hukhuk hichki fazhah jumai

    KHamyaza kahiye angDai

    atsanh chhik aarogh Dakar

    mahak kasauTi jaan ayyar

    aaKHir anjam hai niz tamam

    ant baat hai KHatm kalam

    maulwi sahab saran panah

    gada bhikhaari KHusraw shah

    KHaliq-bari bhai tamam

    duhun jag rahya 'KHusraw' nam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now