kirishnaa more torii akhiyaa.n chaa.nd kaTore

jin kii chaah me.n sargardaa.n hai.n
ha.nstii shaame.n mast savere
saa.nvle mukh par aise damke.n
jaise barf kii tah me.n mahke ThanDii miiThii aag
ek se chhalke prem kii gaagar duujii se bairaag
'ishq ke mathuraa me.n khelii thii jis ke saath ra.ngolii
raadhaa kab thii miiraa thii vo sa.ng tire jo ho lii
samay kii peshaanii se ujlii dekh tirii peshaanii
phir kaahe apne hisse me.n raat bharii hairaanii
terii sundartaa kaa suuraj yug me.n kare KHiraam
raadhaa jii ke sayyaare par lekin ho ga.ii shaam
tum hii raam shyaam hamaare tumhii sadaa ham-jolii
kirno.n se phir saath hamaare kyuu.n ye aa.nkh-michaulii
mai.n hii yashodaa mai.n raadhaa tujhe kirshn kanhaiyaa boluu.n
sub.h chuume suuraj kaa maathaa mai.n teraa mukh chuumuu.n
raushnii kii sur.at me.n lipTe vaqt se kah de pyaare
ek kiran bhar palaT sako to dhanya-vaad tumhaar

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.