Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

raam apnaa bhuul sab aaraam siitaa vaaste

Turab Ali Dakni

hijr me.n khoyaa dekho bisraam siitaa vaaste

raam to chhatrii thaa raavan barahman thaa saras

biram hattyaa kyuu.n kiyaa jaa raam siitaa vaaste

dam su.n sab lanka jalaa pa.nkhaa kiyaa raavan kaa haal

jab gayaa hanumant ne le paiGaam siitaa vaaste

fauj thii vaaner kii hor bhii.D thii la.nguur kii

mil ke sab la.Dte the sub.h-o-shaam siitaa vaaste

maar raavan kuu.n hor siitaa kuu.n laayaa ghar ko raam

kyuu.n nikaalaa ghar su.n ho badnaam siitaa vaaste

raam kyaa raavan hai kyaa hor kyaa hai siitaa so kaho

kyaa athaa hanumant kiyaa jo kaam siitaa vaaste

gyaan me.n gunvant thaa hor dhyaan me.n thaa param-ruup

kyuu.n kiyaa gyaanii ho kaar-e-KHaam siitaa vaaste

kirshn kaa autaar le kar turk ho aayaa 'turaab'

mai.n husainii vaaste aur raam siitaa vaaste

0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY
Speak Now