tiir-e-nazar vo dil pe khaa.e man kaa haal na puuchho haaye

Abdul Hadi Kavish
MORE BYAbdul Hadi Kavish
tiir-e-nazar vo dil pe khaa.e man kaa haal na puuchho haaye
nas nas me.n ik aag lagii hai prem kii agnii kaun bujhaa.e
rut barkhaa kii aa.ii suhaanii rimjhim-rimjhim barse paanii
paagal manvaa har-pal ta.Dpe baa.nke murshid yaad hai aa.e
amvaa Daal pe koyal bole sun sun manvaa le hachkole
pavan chale purvayyaa ab to tujh bin mose rahaa na jaa.e
nuur kii buu.nde.n zulf se Tapke.n mukh se phuul chamelii ke
bholii-bhaalii terii suuratiyaa jo dekhe mohit ho jaa.e
jhuum ke aa.ii.n kaalii ghaTaa.e.n 'kaavish' chal malhaare.n gaa.e.n
nadii kinaare krishn-kanhaiyaa prem kii bansii aaj bajaa.e

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.