Font by Mehr Nastaliq Web

bahaar taiba ke manzar hameñ rulaate hai.n

Aabid Ali Attari

MORE BYAabid Ali Attari

    bahaar taiba ke manzar hameñ rulaate hai.n

    jo lamhe taiba me.n guzaare vo yaad aate hai.n

    sunahrii jaaliyo.n ke saamne adab se kha.De

    Gulaam aap ke apne dilo.n ko bhaate hai.n

    mai.n baar-baar pukaaruu.ngaa phir bulaa liijiye

    ki aap mujh se nikammo.n ko bhii nibhaate hai.n

    shumaar meraa bhii un haajiyo.n me.n kar diijiye

    ki jin ko aap shahaa dar pe ab bulaate hai.n

    ho mujh pe chashm-e-’inaayat mere Gariib-navaaz

    ki ik jahaa.n ko shahaa aap hii khilaate hai.n

    lahad me.n kaash huzuur aap ke hii jalve ho.n

    ki aap aa.e.n to phir sab ujaale aate hai.n

    shahaa ba-vaqt-e-naza.a bhii karam ho 'aabid' par

    ki is nikamme ke Gam aap hii miTaate hai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now