Font by Mehr Nastaliq Web

meraa iimaan hai meraa yaqii.n hai

Aabid Qadri

meraa iimaan hai meraa yaqii.n hai

Aabid Qadri

MORE BYAabid Qadri

    meraa iimaan hai meraa yaqii.n hai

    do-'aalam me.n tiraa ham-sar nahii.n hai

    sadaa-e-lan-taraanii bhii kahii.n hai

    kahii.n be-parda vo parda-nashii.n hai

    hariim-e-naaz ke parde uThe hai.n

    shab-e-israa ko.ii parda nahii.n hai

    nabii baitushsharf jab se kisii kaa

    zamii.n ham-rutba-e-’arsh-e-barii.n hai

    rahegaa haath me.n daaman kisii kaa

    tiraa Dar 'arsa-e-mahshar nahii.n hai

    madiina KHud mujhe jannat baraabar

    mujhe kyaa hai agar jannat kahii.n hai

    sharii'at rok letii hai zabaa.n ko

    vagarna mai.n bhii kahtaa sab yahii.n hai

    meraa dil 'arsh ko chhuune lagaa hai

    kisii kii yaad jab se dil-nashii.n hai

    sahaaraa jab se un kaa mil gayaa hai

    ko.ii mushkil mujhe mushkil nahii.n hai

    KHudaa shaahid kisii kii yaad se tu

    ye dil kii anjuman KHaalii nahii.n hai

    sar-e-mahshar na sharminda rahuu.ngaa

    shafaa'at kaa tirii kaamil yaqii.n hai

    'ibaadat ke maze letaa huu.n 'aabid'

    kisii kaa aastaa.n hai ye jabii.n hai

    meraa iimaan hai meraa yaqii.n hai

    do-'aalam me.n tiraa ham-sar nahii.n hai

    sadaa-e-lan-taraanii bhii kahii.n hai

    kahii.n be-parda vo parda-nashii.n hai

    hariim-e-naaz ke parde uThe hai.n

    shab-e-israa ko.ii parda nahii.n hai

    nabii baitushsharf jab se kisii kaa

    zamii.n ham-rutba-e-’arsh-e-barii.n hai

    rahegaa haath me.n daaman kisii kaa

    tiraa Dar 'arsa-e-mahshar nahii.n hai

    madiina KHud mujhe jannat baraabar

    mujhe kyaa hai agar jannat kahii.n hai

    sharii'at rok letii hai zabaa.n ko

    vagarna mai.n bhii kahtaa sab yahii.n hai

    meraa dil 'arsh ko chhuune lagaa hai

    kisii kii yaad jab se dil-nashii.n hai

    sahaaraa jab se un kaa mil gayaa hai

    ko.ii mushkil mujhe mushkil nahii.n hai

    KHudaa shaahid kisii kii yaad se tu

    ye dil kii anjuman KHaalii nahii.n hai

    sar-e-mahshar na sharminda rahuu.ngaa

    shafaa'at kaa tirii kaamil yaqii.n hai

    'ibaadat ke maze letaa huu.n 'aabid'

    kisii kaa aastaa.n hai ye jabii.n hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now