aaj din mauluud kaa aayaa rasuul-e-paak kaa

ra.ng badlaa hai zamii.n kaa aalam-e-aflaak kaa
ye nasiib allaahu-akbar ye muqaddar KHaak kaa
sar pe apne jo qadam rakhe rasuul-e-paak kaa
aaj vo ra.ng-e-jahaa.n hai jo kabhii dekhaa na thaa
vo zamii.n kaa martaba hai jo nahii.n aflaak kaa
kuchh ufuq hai nuur-aagii.n kuchh shafaq hai laal laal
zarra zarra aa.iina hai husn-ruu-e-KHaak kaa
naGma-e-bulbul kahii.n gul-baa.ng Guncho.n kii kahii.n
zamzama aamii.n kaa hai GalGala laulaak kaa
dekh kar vajd-e-sabaa raqs-e-nasiim-e-sub.h-gaah
tinkaa tinkaa raqs kartaa hai KHas-o-KHaashaak kaa
aalam-e-duniyaa tamaashaagaah-e-aalam ban gayaa
sair-gaah-e-qudsiyaa.n hai parda parda KHaak kaa
ek tutuq hai nuur kaa farsh-e-zamii.n se arsh tak
saaf aataa hai nazar jalva rasuul-e-paak kaa
ye tajallii-zaar-e-aalam is liye haq ne kiyaa
jalva dekhe aap mauluud-e-habiib-e-paak kaa
is qadar huuro.n kii kasrat hai malaayak kaa hujuum
band rasta ho gayaa hai arsa-e-aflaak kaa
sunte hai.n aate hai.n getii par habiib-e-kibriyaa
haa.n kare nazzaara-e-istiqbaal ahl-e-KHaak kaa
dekhnaa shaan-o-jalaal-e-aamad-e-shaah-e-umama
gosha thaame saat hai.n ruuhul-qudus fitraak kaa
aamad aamad kii KHabar se sarvar-e-kaunain kii
ra.ng sun kar u.D gayaa chehra se har saffaak kaa
yaa.n arab me.n khalbalii thii vaa.n ajam me.n zalzala
gir gayaa nau-shervaa.n kaa ka.ngura imlaak kaa
u.D gayaa kaafir-nigaahii se Guruur-e-kaafirii
miT gayaa saaraa Guruur ab diida-e-Garraak kaa
ab kahaa.n kaafir-adaa.ii abruu-e-KHamdaar me.n
ab vo kaafir-bal hii niklaa kaakul-e-pechaak kaa
dil khichaa jaataa hai ek ik kaa madiina kii taraf
ruKH phiraa jaataa hai ek ik diida-e-bebaak kaa
kyaa likhe.n husn-e-shamaa.il sarvar-e-kaunain ham
band hai dam fahm kaa aur haafiza idraak kaa
aap vo aadam na the jis KHaak se aadam banaa
nuur-e-haq se thaa banaa paikar rasuul-e-paak kaa
nuur-e-yaktaa aap the aadaab-e-yaktaa.ii thaa saath
is liye be-saaya thaa qaamat bhii zaat-e-paak kaa
dil-kashii suurat me.n aa.nkho.n me.n masiihaa.ii ke taur
guftuguu me.n vo asar jo kaam de tiryaak kaa
vasf kiyaa likhne nabii kaa hausla kyaa kilk kaa
lab nahii.n hiltaa zabaan-e-KHaama-e-chaalaak kaa
bas zabaan ko rok lo 'raaqim' adab kahtaa hai ye
vasf KHaaliq jaantaa hai kuchh habiib-e-paak kaa

- Book : Muraqqa'-e-Na'at (Pg. 2)
- Author : Raqim Dehlavi
- Publication : Nizam-ul-Matabe, Hyderabad
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.