ahmad ke gharaane ki ziyaa sab se alag hai

haa.n piir miraa sab se judaa sabse alag hai
jab mai.n ne kahaa merii KHataa sab se alag hai
to us ne kahaa merii 'ataa sab se alag hai
vo pahlii mulaaqaat bhalaa kaise mai.n bhuuluu.n
dekhaa jo tujhe dil ne kahaa sab se alag hai
yuu.n to hai.n zamaane me.n saKHii laakh magar sun
ahmad ke gharaane kii 'ataa sab se alag hai
jaataa hii nahii.n chho.D ke dar ko tire ko.ii
terii galii kii aab-o-havaa sab se alag hai
aa.nkho.n se pilaa saaqii pilaanaa hai agar to
aa.nkho.n se hii piine kaa maza sab se alag hai
allaah kii pahchaan yahaa.n jis ko ho 'aamir'
phir us kii mohabbat kii jaza sab se alag hai
mar ke bhii na chhuuTe ye tire dar kii gadaa.ii
maqbuul ho 'aamir' kii du'aa sab se alag hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.