azal se huu.n mai.n naam-levaa tumhaaraa

mire tum ho aaqaa mai.n banda tumhaaraa
jise chaahiye jo bhii aa kar ke le le
do 'aalam me.n ba.nTtaa hai sadqa tumhaaraa
zamaane kii nazro.n me.n chubhne lagaa huu.n
pa.Dhaa jab se mai.n ne hai kalima tumhaaraa
jo ahl-e-nazar hai.n vo ye jaante hai.n
yahaa.n se vahaa.n tak hai jalva tumhaaraa
bhalaa kaun qurbaan un par na ho ab
ye pyaarii sii suurat ye naqsha tumhaaraa
mile huur-o-jannat kii KHvaabo.n se fursat
to samjhe kahii.n shaiKH rutba tumhaaraa
faqiirii me.n shaahii nazar aa rahii hai
hu.aa huu.n mai.n jis din se ma.ngtaa tumhaaraa
du'aa raat-din kar rahaa huu.n KHudaa se
kabhii chhuuTe daaman na maulaa tumhaaraa
karo rashk tum apnii qismat pe 'aamir'
do 'aalam kaa maalik hai baabaa tumhaaraa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.