Font by Mehr Nastaliq Web

allaah jaane kyaa hai aisaa tirii galii me.n

Aamir Rahmati

MORE BYAamir Rahmati

    allaah jaane kyaa hai aisaa tirii galii me.n

    hai qais ab bhii mahv-e-sajda tirii galii me.n

    hai be-KHudii kaa 'aalam vo tujh se hii pata bhii

    mai.n ne tirii galii kaa puuchhaa tirii galii me.n

    mai.n dau.D kar chalaa aayaa kaasa-e-dil liye yuu.n

    dekhaa jo ahl-e-dil kaa majma' tirii galii me.n

    dono.n jahaan me.n merii ba.Dh ga.ii hai 'azmat

    jis din se hai qadam ye rakkhaa tirii galii me.n

    jis ko jo chaahiye aa kar ke le le yahaa.n se

    rahmat kaa bah rahaa hai dariyaa tirii galii me.n

    hai auj par sitaara qismat kaa us ke jab se

    aayaa hu.aa hai 'aamir' aaqaa tirii galii me.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now