Font by Mehr Nastaliq Web

'alii 'alii kii sadaa.e.n lagaa rahaa huu.n mai.n

Aamir Rahmati

MORE BYAamir Rahmati

    Interesting Fact

    منقبت در شان حضرت علی مرتضیٰ (نجف-عراق)

    'alii 'alii kii sadaa.e.n lagaa rahaa huu.n mai.n

    usii se apnaa muqaddar jagaa rahaa huu.n mai.n

    ba.De ba.Do.n kaa ye shajara kha.ngaal detaa hai

    Gadiir kii jo haqiiqat sunaa rahaa huu.n mai.n

    unhe.n KHabar kahaa.n vus'at mirii kahaa.n tak hai

    zamii.n se aasmaa.n tak kaa KHudaa rahaa huu.n mai.n

    ba.De ba.Do.n ke bhii parvaaz KHatm ho jaa.e

    vahaa.n vahaa.n bhii 'alii ko hii paa rahaa huu.n mai.n

    pasiine chhuuT ga.e mushkilo.n ke yak-dam se

    kahaa jo mai.n ne 'alii ko bulaa rahaa huu.n mai.n

    faqat isii liye 'izzat mujhe milii 'aamir'

    'alii 'alii kii jo ye giit gaa rahaa huu.n mai.n

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now