ye KHushbuu ye chaadar ye phuulo.n kii Daalii nigaaho.n ko un pe jamaa.e hu.e hai.n

Aamir Rahmati
MORE BYAamir Rahmati
Interesting Fact
منقبت در شان حاجی وارث علی شاہ (دیوہ-بارہ بنکی)
ye KHushbuu ye chaadar ye phuulo.n kii Daalii nigaaho.n ko un pe jamaa.e hu.e hai.n
'alii ke dulaare kii mahfil sajii hai madiine se aaqaa bhii aa.e hu.e hai.n
tamannaa liye diid kii baiThe hai.n ham tum aa.o to nikle ye hasrat hamaarii
chale aa.o vaaris chale aa.o pyaare nigaaho.n ko rah me.n bichhaa.e hu.e hai.n
rasuul-e-KHudaa aa.e hai.n saath un ke 'alii bhii hasan bhii husain aa.e dekho
hai kitnii hasii.n raat aa.ii hu.ii ye zamii.n aasmaa.n jagmagaa.e hu.e hai.n
dayaar-e-valii hai yahaa.n kyaa kamii hai 'ataa panjtan kaa ho sadqa sabhii ko
liye KHaalii kaasa ba.Dii duur se ye sabhii terii mahfil me.n aa.e hu.e hai.n
ye vaaris ke rahmat ke pyaare kaa dar hai ye maulaa 'alii ke dulaare kaa dar hai
yahaa.n taajvar bhii gadaa.o.n me.n mil kar zaraa dekho daaman bichhaa.e hu.e hai.n
ba.Do.n kaa hai darbaar 'aamir' sambhal kar kahii.n ko.ii laGzish na ho jaa.e tum se
bashar to bashar hai.n yahaa.n dekhiye to farishte bhii sar ko jhukaa.e hu.e hai.n

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.