aa.nkho.n me.n aa.e vaaris dil me.n samaa.e vaaris
aa.nkho.n me.n aa.e vaaris dil me.n samaa.ae vaaris
tere liye Thikaane kyaa kyaa banaa.e vaaris
yuusuf kaa ai zuleKHaa tuu naam bhii na letii
tuu mubtalaa-e-lailaa ham mutalaa-e-vaaris
KHaak-e-shifaa se behtar kohal-ul-basar se ba.Dh kar
iksiir aashiqo.n kii hai KHaak-e-paa-e-vaaris
ai aaftaab-e-mahshar mahshar se mat Daraa tuu
saaya-figan hai ham par zill-e-humaa-e-vaaris
ab Duubtii hai apnii bahr-e-alam me.n kashtii
kyuu.n-kar na yaas se mai.n chillaa.uu.n haaye vaaris
'asGar' kii ye tamannaa bar aa.e yaa-ilaahii
dil ko nisaar-e-vaaris jaa.n ho fidaa-e-vaaris

- Book : Tazkira Sho.ara-e-Warsia (Pg. 228)
- Publication : Fine Books Printers (1993)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.