ujaalaa vo hai iimaa.n kaa yahaa.n KHvaaja vahaa.n KHvaaja

Aarif Naqshbandi
MORE BYAarif Naqshbandi
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-بھارت)
ujaalaa vo hai iimaa.n kaa yahaa.n KHvaaja vahaa.n KHvaaja
zamaana bhar me.n raushan hai charaaG-e-chishtiyaa.n KHvaaja
tirii shaan-e-karaamat hai ki ye shaan-e-'ibaadat hai
chalaa aataa hai chaukhaT par tirii saaraa jahaa.n KHvaaja
milii hai raushnii tujh ko rasuul-allaah ke dar se
tire us faiz-e-nuuraanii kii had hai ab kahaa.n KHvaaja
tire rauza pe baarish raat din phuulo.n duruudo.n kii
KHudaa kii KHaas rahmat kaa yahii to hai nishaa.n KHvaaja
tuu us kaa ho gayaa aisaa ki duniyaa ho ga.ii terii
tire qabza me.n us ne de diyaa saaraa jahaa.n KHvaaja
tirii ruuhaaniyat ke 'aalam-e-baalaa me.n charche hai.n
tire hii zikr se guu.njaa hu.aa hai aasmaa.n KHvaaja
muravvat hai mohabbat hai tavaazo.a hai saKHaavat hai
tuu hai insaaniyat kaa ek bahr-e-be-karaa.n KHvaaja
bahut mard-e-KHudaa ho.nge zamiin-e-hind par lekin
kahaa.n KHvaaja kahaa.n KHvaaja kahaa.n KHvaaja kahaa.n KHvaaja
yaqii.n kaamil hai 'aarif' ko rahegaa diin-o-duniyaa me.n
tire fazl-o-karam kaa us ke sar par saa.ebaa.n KHvaaja

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.