namaaz-e-'ishq mai.n ne baarhaa dil me.n adaa kii hai
Interesting Fact
منقبت در شان حضرت سید محی الدین پاشا قادری (کرنول-آندھرا پردیش)
namaaz-e-'ishq mai.n ne baarhaa dil me.n adaa kii hai
KHudaa ne 'aarifo.n ko ye sa'aadat bhii 'ataa kii hai
jo raah-e-haq me.n marte hai.n unhe.n murda nahii.n kahte
yahii taa'riif quraa.n me.n likhii un auliyaa kii hai
jo bando.n me.n ye shaamil hai.n to haq se bhii ye vaasil hai.n
suno pahchaan mushkil aaj bhii un auliyaa kii hai
muyassar auliyaa ko apnii qabro.n me.n har ik shai hai
navaazish aur 'inaayat KHaas un par kibriyaa kii hai
jo Tapke aa.nkh se aa.nsuu to dhul jaa.e.n mire 'isyaa.n
KHudaa se baar-haa mai.n ne yahii ik iltijaa kii hai
hai jaarii qabr se jis kii hamesha faiz-e-ruuhaanii
ye 'urs-e-paak kii mahfil usii haq-aashnaa kii hai
badal dete hai.n taqdiiro.n ko ye apii nigaaho.n se
dilo.n par aaj bhii jaarii hukuumat auliyaa kii hai
agar tum dekhnaa chaaho to dekho dil kii aa.nkho.n se
mazaar-e-piir muhi.uddiin par rahmat KHudaa kii hai
muhi.uddiin ke dar par hai 'aarif bhii hu.aa haazir
sa'aadat kyaa KHudaa ne aaj mujh ko ye 'ataa kii hai

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.