madaavaa-e-dard-e-jigar hai.n mohammad
madaavaa-e-dard-e-jigar hai.n mohammad
hamaare liye chaara-gar hai.n mohammad
hamaa vaqt pesh-e-nazar hai.n mohammad
rag-e-dil se nazdiik-tar hai.n mohammad
ba-har-gaam-e-jalva ba-har-gaam-e-manzil
mashiyyat ke shams-o-qamar hai.n mohammad
KHushaa aisii ruKHsat abhii the zamii.n par
jo dekhaa to aflaak par hai.n mohammad
KHudaa ne to aadam ko insaa.n banaayaa
ye sach hai ki KHairul-bashar hai.n mohammad
qiyaamat me.n sab ke labo.n par ye hogaa
kidhar hai.n mohammad kidhar hai.n mohammad
mubaarak zamaane ko ho daras-e-lenin
hamaare bas ik raahbar hai.n mohammad
kahaa.n 'umr 'aarif' kahaa.n na.at terii
ye lamhe bahut muKHtasar hai.n mohammad

- Book : Tazkira-e-shora-e-Uttar Pradesh Voll.X (Pg. 201)
- Author : Irfan Abbasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.