mere murshid mere aaqaa hazrat-e-shaah-e-hasn
Interesting Fact
منقبت در شان خواجہ محمد حسن جہاں گیری ابوالعلائی (رامپور-اتر پردیش)
mere murshid mere aaqaa hazrat-e-shaah-e-hasn
the haqiiqat me.n saraapaa ziinat-e-sad anjuman
is tarah phabte the KHud apne Gulaamo.n me.n huzuur
chaa.nd jaise saath me.n taaro.n ke ho jalva-figan
aap the ruuh-e-razaa-o-jaan-e-shaah-e-bul-'olaa
aap the 'ain-e-'inaayat-shaah qutub-e-zul-menan
the jahaa.ngiirii gulistaa.n ke shagufta aap gun
jin kii KHushbuu se mo'attar ho gayaa saaraa chaman
shaKHsiyat hazrat kii kuchh 'aalam me.n poshiida nahii.n
aap hai.n mash.huur misl-e-mushk-e-aahuu-e-KHutan
mere aaqaa aap kii allaah re ruuhaaniyat
sharq se taa-Garb hai.n baa-faiz saare mard-o-zan
mushkilo.n me.n aap ko jab bhii pukaaraa hai kabhii
ho ga.ii.n hal mushkile.n baa-'arsa-e-chasm-e-zan
is qadar duurii ki nazro.n se hai.n poshiida huzuur
qurbiyat itnii ki phir bhii aap hai.n saaya-figan
hai karam ham par ki is duurii me.n shaan-e-qurbiyat
KHaana-e-dil me.n hai.n 'aashiq' aaj bhii jalva-figan

- Book : Kalaam-e-Manzoor Aarfi (Pg. 136)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.