Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

maz.har-e-zaat-e-KHudaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

Aashiq Hyderabadi

MORE BYAashiq Hyderabadi

    Interesting Fact

    منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)

    maz.har-e-zaat-e-KHudaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    nuur sar kibriyaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    KHaas shakl-e-mustafaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    jism-o-jaan-e-murtazaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    kyuu.n na ham kahlaa.e.n bande ek us ke KHalq me.n

    suurat-e-maulaa banaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    sajda-gaah-e-KHaas aur 'aam us kii hai dargaah-e-paak

    qibla-o-kaa'ba bajaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    shaukat-o-'azmat me.n hazrat kaa nahii.n saanii ko.ii

    raunaq-e-arz-o-samaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    saltanat hind-o-dakan kii hai usii ke hukm me.n

    shaah us aqliim kaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    mil ga.ii sab ko vilaayat us se KHaas ajmer me.n

    bahr-e-faiz aa kar basaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    jo kHitaab-e-mustataab us ko milaa haazaa habiib

    haa.n mohammad kii 'ataa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    taaba-e-farmaan hai.n us ke saare qutub-o-Gaus aaj

    taaj-e-baKHshish auliyaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    kyuu.n na bar aa.e.n jahaa.n ke maqsad us kii zaat se

    sar-ba-sar haajat-ravaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    sar ko qadmo.n par jhukaa do us ke sab vaqt-e-muhim

    hazrat-e-mushkil-kushaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    shash-jihat ke aa.iino.n me.n hai vahii ik jalva-gar

    saaf vaj.h ainamaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    rag.Do peshaanii ko apnii us kii chaukhaT par mudaam

    sab kaa baab-e-mudda'aa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    hai tajallii se usii kii maah-e-garduu.n kii chamak

    zeb-e-mhr-e-pur-ziyaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    shaKHsh-o-aks aap hii banaa hai 'ishq ke iz.haar kaa

    jaan-o-tan kaa aa.iina hai apnaa KHvaaja baadshaah

    husn mumkin hii par apne hai jo vaajib shefta

    aap apnaa dilrubaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    bhed raag-o-ra.ng kaa hai ek usii par munkashif

    naGma-e-kun kii sadaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    jaan kar anjaan hai.n is kii haqiiqat kaa kahii.n

    ham ne samjhaa hai ki kyaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    zaat-e-be-chuu.n ban gayaa hai saaf us kaa jism-o-jaan

    ibtidaa aur intihaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    naam-e-naamii us kaa apne lab par aa.e kis tarah

    ab ta'ayyun se judaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    manzil-e-maqsuud us kii Gair ko haasil ho kab

    chishtiyo.n kaa rahnumaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    ik vujuud us kaa jo hai tanziih aur tashbiih me.n

    KHud fanaa-o-kHud baqaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    nutq se niklii usii ke kunto kanzan kii hadiis

    ziinat-e-’ishaq-e-dolaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    paasbaa.n us ke bane hai.n saare shahbaaz-e-jahaa.n

    qaalib-o-jaa.n hamaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    kHarq-e-’aadaat aaj tak us ke hai.n jaarii KHalq me.n

    'iisaa mo’jiz-numaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    us ke zill-e-’aatifat me.n ik jahaa.n aashufta hai

    saaya-gustar KHalq kaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    paak dil ho kar rakho tum zaat se us ke KHuluus

    saahib-e-sidq-o-safaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    tarikudduniyaa jo ban kar ho gayaa hai be-navaa

    jaan 'aashiq me.n chhupaa hai apnaa KHvaaja baadshaah

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Unknown

    Unknown

    Source :

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now