naam ab jis kaa KHvaaja hai
Interesting Fact
منقبت در شان غریب نواز خواجہ معین الدین چشتی (اجمیر-راجستھان)
naam ab jis kaa KHvaaja hai
murshid meraa KHvaaja hai
haq kii raah par hai.n jo ham
haadii apnaa KHvaaja hai
bande haq ke ham hai.n kab
apnaa maulaa KHvaaja hai
ism-o-jism bande kaa
aap musammaa KHvaaja hai
nuur-e-zaat bechuu.n kaa
paak saraapaa KHvaaja hai
dekh miTaa kar bande ko
haq kaa chehra KHvaaja hai
bande kis ke kahlaa hai.n
ham me.n paidaa KHvaaja hai
hai.n jo Gaa.eb us ke sifaat
zaat me.n zinda KHvaaja hai
aa.e kyuu.n kar zaat nazar
us kaa parda KHvaaja hai
'irfaan pa.Dh kar samjhaa huu.n
lafz-o-ma.anii KHvaaja hai
kahtii hai.n mauje.n vahdat kii
qatra-o-dariyaa KHvaaja hai
dekh tajallii vahdat kii
mehar aur zarra KHvaaja hai
naGma-zan hai bulbul-e-'ishq
gul aur Guncha KHvaaja hai
baada-e-'ishq aur vahdat kaa
jaam-o-shiisha KHvaaja hai
chisth kii duukaan garm hai ab
us kaa saudaa KHvaaja hai
saaf anal-haq apne saath
kahne vaalaa KHvaaja hai
dekho laa me.n gum ho kar
sirf ilaaha KHvaaja hai
kis kaa hai yahaa.n kaun Gulaam
'aalam saaraa KHvaaja hai
sajda us ko karte hai.n
apnaa kaa'ba KHvaaja hai
banda kaa hai kab ye kalaam
us kaa goyaa KHvaaja hai
kahte hai.n ye chishtii sab
piir hamaaraa KHvaaja hai
piir jo saare hai.n mash.huur
sab se a'alaa KHvaaja hai
dekh lo saare piiro.n me.n
'aalii rutba KHvaaja hai
hind-o-dakan par us kaa hai hukm
shaah-e-zamaana KHvaaja hai
dekh lo aa kar KHalvat me.n
haq kaa tamaasha KHvaaja hai
zikr-o-shuGl aur meraa vird
KHvaaja KHvaaja KHvaaja hai
'aashiq us kaa mai.n jo huu.n
meraa pyaaraa KHvaaja hai
naam ab jis kaa KHvaaja hai
murshid meraa KHvaaja hai
haq kii raah par hai.n jo ham
haadii apnaa KHvaaja hai
bande haq ke ham hai.n kab
apnaa maulaa KHvaaja hai
ism-o-jism bande kaa
aap musammaa KHvaaja hai
nuur-e-zaat bechuu.n kaa
paak saraapaa KHvaaja hai
dekh miTaa kar bande ko
haq kaa chehra KHvaaja hai
bande kis ke kahlaa hai.n
ham me.n paidaa KHvaaja hai
hai.n jo Gaa.eb us ke sifaat
zaat me.n zinda KHvaaja hai
aa.e kyuu.n kar zaat nazar
us kaa parda KHvaaja hai
'irfaan pa.Dh kar samjhaa huu.n
lafz-o-ma.anii KHvaaja hai
kahtii hai.n mauje.n vahdat kii
qatra-o-dariyaa KHvaaja hai
dekh tajallii vahdat kii
mehar aur zarra KHvaaja hai
naGma-zan hai bulbul-e-'ishq
gul aur Guncha KHvaaja hai
baada-e-'ishq aur vahdat kaa
jaam-o-shiisha KHvaaja hai
chisth kii duukaan garm hai ab
us kaa saudaa KHvaaja hai
saaf anal-haq apne saath
kahne vaalaa KHvaaja hai
dekho laa me.n gum ho kar
sirf ilaaha KHvaaja hai
kis kaa hai yahaa.n kaun Gulaam
'aalam saaraa KHvaaja hai
sajda us ko karte hai.n
apnaa kaa'ba KHvaaja hai
banda kaa hai kab ye kalaam
us kaa goyaa KHvaaja hai
kahte hai.n ye chishtii sab
piir hamaaraa KHvaaja hai
piir jo saare hai.n mash.huur
sab se a'alaa KHvaaja hai
dekh lo saare piiro.n me.n
'aalii rutba KHvaaja hai
hind-o-dakan par us kaa hai hukm
shaah-e-zamaana KHvaaja hai
dekh lo aa kar KHalvat me.n
haq kaa tamaasha KHvaaja hai
zikr-o-shuGl aur meraa vird
KHvaaja KHvaaja KHvaaja hai
'aashiq us kaa mai.n jo huu.n
meraa pyaaraa KHvaaja hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.