Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

maidaan me.n mahshar ke jab aave.nge mohammad

Aashiq Ludhianvi

MORE BYAashiq Ludhianvi

    maidaan me.n mahshar ke jab aave.nge mohammad

    ummat ko 'azaab se chhu.Daave.ng mohammad

    jab ummat-e-'aasii ke ta.ii.n dekhe.nge hazrat

    ro-ro ke bahut ashk bahaave.nge mohammad

    gar palla-e-nekii rahaa miizaan me.n subuk-dosh

    tab dast-e-mubaarak se jhukaave.nge mohammad

    'isyaa.n se agar naama-e-a'amaal hu.aa pur

    tab bahr-e-shafaa’at me.n bahaave.ng mohammad

    khul jaa.egaa ummat pe rihaa.ii kaa natiija

    jab ruu-e-mubaarak ko dikhaave.nge mohammad

    bkHshaa.eng ummat ko na jab tak mere maulaanaa

    sar sajde se tab tak na uThaave.nge mohammad

    jab dekhe.nge dozaKH se nikalte hu.e sho.ale

    tab aab-e-shafaa'at se bujhaave.nge mohammad

    ai 'aashiq-e-ahmad na karo fikr ziyaada

    firdaus me.n tum ko bhii bulaave.ng mohammad

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now