vahii nuur yaa mustafaa ban ke aayaa
vahii nuur yaa mustafaa ban ke aayaa
har ik dard-e-dil kii davaa ban ke aayaa
mohammad rasuul-e-KHudaa ban ke aayaa
jahaa.n me.n vo mushkil-kushaa ban ke aayaa
kahii.n naam-e-ahmad kahii.n hai mohammad
kahii.n mustafaa mujtabaa ban ke aayaa
kahii.n dhar ke kaa.ndhe pe kaalii kamaliyaa
kahii.n KHalq kaa rahnumaa ban ke aayaa
kahii.n hai laqab aap kaa shaafe'-e-mahshar
gunahgaaro.n kaa aasraa ban ke aayaa
KHabar jin ke dete rahe the payambar
vahii kHaatim-ul-ambiyaa ban ke aayaa
sunaa hai ki yuusuf pe 'aashiq zuleKHaa
magar haq kaa vo dilrubaa ban ke aayaa
pa.Dii un kii ummat pe jab ko.ii mushkil
vo fauran hii mushkil-kushaa ban ke aayaa
sunaa hai ki muusaa kaliim-e-KHudaa the
mohammad habiib-e-KHudaa ban ke aayaa
vahii sab gadaa.o.n kaa fariyaad-ras hai
baraa-e-mariizaa.n du'aa ban ke aayaa

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.