Font by Mehr Nastaliq Web
Sufinama

Gam ho to ho nabii kaa aazaar hai to ye hai

Aasi Gayavi

MORE BYAasi Gayavi

    Gam ho to ho nabii kaa aazaar hai to ye hai

    hamdard hai to ye hai Gam-KHvaar hai to ye hai

    huuro.n kii diid-baazii rizvaa.n ko ho mubaarak

    nazzaara ho nabii kaa diidaar hai to ye hai

    hindostaa.n se chal kar rauza nabii kaa dekhuu.n

    shaaho.n ke mu.nh se nikle darbaar hai to ye hai

    ja.ng-e-uhud me.n hazrat talvaar le ke nikle

    fauj-e-Ganiim bolii sardaar hai to ye hai

    sun kar nabii kaa na.ara kuffaar kah ke bhaage

    bas tiir hai to ye hai talvaar hai to ye hai

    mai.n huu.n mariiz-e-’isyaa.n tum ho tabiib-e-’aalam

    kiijo davaa.e ummat biimaar hai to ye hai

    muslim kii bekasii par rotaa hai ik zamaana

    mahbuub-e-haq KHabar lo laa-chaar hai to ye hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now