dar-ba-dar ab na phiraa.o ai shah-e-kaliyar mujhe

Abdul Ghani Mohtaj
MORE BYAbdul Ghani Mohtaj
Interesting Fact
منقبت درشان صابرپاک حضرت علاؤالدین علی احمد (کلیر، اتراکھنڈ)
dar-ba-dar ab na phiraa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
apne rauza par bulaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
gesu-e-mushkii.n su.nghaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
hosh me.n ab jald laa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
daras vahdat kaa pa.Dhaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
haqq-e-ta'ala se milaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
ab mai-e-ulfat pilaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
apnaa mastaana banaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
suurat-e-bulbul na ta.Dpaa.o tum ab bahar-e-KHudaa
’aariz-e-gulguu.n dikhaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
aatish-e-furqat se jaltaa hai jigar misl-e-kabaab
vasl kaa sharbat pilaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
baKHt-e-KHufta ke miTe.nge saare shikve aap gar
KHvaab me.n jalva dikhaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
charKH par ban jaa.e.nge taare mere zarra ke gar
KHaak kuucha kii banaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe
'arz ye ‘mohtaaj’ kii hai saav-dah se bahr-e-haq
apne kaliyar me.n bulaa.o ai shah-e-kaliyar mujhe

Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.